Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Manzil Bhi Kho Chuki Hay Safar hi Nahin Raha
Meri Kisi Duaa Main Asar hee Nahin Raha

Jab Se Huyee Hai Dil Ko Khabar Hijar e Yaar Ki
Lafzon Ko Jornay Ka Hunnar hee Nahin Raha

Tu Kya Chala Gaya K Main sab kuch hi Kho Chuka
Manzil ko chhorh de K Safar hee Nahin Raha

Awaargi Main Lutf Kahan ab Azaab Hai
Par Kya Karoonga Loat K, Ghar hee Nahin Raha

Ginti K Din Hain Mout Main Lakin Ye Waqt Bhi
Kuchh aisey Tham Gaya Hai Guzar hee Nahin Raha

Dafna Do Mujhko Mout Se Pehle hii dosto
Ab mai Kisi Ka Jaan e Jigar hee Nahin Raha

Advertisement
· 1 Like · May 03, 2017 at 07:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Car evolution.
Posted by Imran Rashid Malik
Posted on : Jan 02, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS