Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apni Har Baat Main De De K Hawalay Mere
Uss Se Kehna K Na Yun Dard Uchalay Mere
Main Ne Palkon Se Chunay Khaar Bhi Jis Ki Raah K
Uss Sitamgar Ne Bhi Kantay Na Nikalay Mere
Main Lahoo Dun Ga Charaghon Ko Magar Woh Aa Kar
Apne Daghoon Main Saja Le Ga Ujalay Mere
Kuch Na Paon Ga Saraabon K Siwa Main Lekin
Dasht Main Phool Khila Jain Gay Chaalay Mere
Kitnay Pur-Noor Haqaaiq Ka Pata Detay Hain
Daikhnay Ko To Yeh alfaaz Hain Kaalay Mere
Baant Letay Hain Yeh Ashaar Mere Har Ghum Ko
Yeh Mere Lakht-E-Jigar , Laad K Palay Mere
Lamha Lamha Dil-E-Anwar Dua Deta Hai
Tu Salamat Rahay , Ay Bhoolnay Walay Mere

Advertisement
·
1 Like ·
Feb 28, 2017 at 05:02
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video