Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aisa toota hai tamanaon ka pinddar k bus
Dil ne jhailay hain mohabbat mein wo azaar k bus
Ek lamhay mein zamanay mere hathon se gaye
Es qadar taiz hui waqt ki raftaar k bus
Tu kabhi rakh k humein dekh to bazaar k beech
Es tarha toot k aaein gay kharidaar k bus
Kal bhi sadiyon ki musaafat pe kharay they donon
Darmiyaan aaj bhi parti hai wo deewar k bus
Ye to ek zid hai k Mohsin main shikayat na kerun
Warna shikway to hain itnay mere yaar k bus

Advertisement
·
1 Like ·
Feb 13, 2017 at 10:02
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video