Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

ab bhala chhor ke ghar kya karte
shaam ke vaqt safar kya karte

terii masrufiytain jaante the
apne aane kii Khabar kyaa karte

jab sitare hi nahi mil paye
le ke ham shams o qamar kya karte

wo musafir hi khuli dhuup ka tha
saaye phaila ke shajar kya karte

Khaak hi avl o aaKhir thahri
kar ke zarre ko gauhar kyaa karte

raaye pehle se hii banaa lii tune
dil meN ab ham tere ghar kyaa karte

ishq ne saare saliqay bakhshe
husn se ksb e hunar kya karte

Advertisement
· 1 Like · Jan 15, 2017 at 11:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Dear God, Thank Your For Being There
Posted by nimrah butt
Posted on : Jan 03, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS