Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Reh Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh

Gham Se Jo Hai TAlluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh

Sarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hont Peh Aansoo Ki Dhaar Rakh

Ae Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh

Dil Main Naheen Jo Ishq To Kaahe Ki Bandagi
Sajday Main Apnay Sar Ko Agarche Hazaar Rakh

Kaaba Agar Naheen To Isay Butkada Bana
Dil Main Khuda Ki Yad Ya Tasveer-E-Yar Rakh

Hamlay Shadeed Honge Anaa Ke Khatiib Phir
Qaaim Khudi Ke Gird Khuda Ka Hisaar Rakh

Advertisement
· 2 Like · Jan 28, 2015 at 08:01
Category: relegious
 

Latest Posts in poetry

Hazrat Anas (R.A) se riwayat hai.
Posted by neelum chaudhry
Posted on : May 03, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS