Poetry / Relegious

Shama Qadir

ger koee pooche k kirdaar ki Azmat kyaa hai
kahoN insaaniyat se badi reffat kyaa hai?

deen ki rakhi hai bunyaad esi per Rabb ne
ain fitrat hi hai yehi, aur sahuulat kyaa hai?

Duub k mann maiN jo sochaa tau dikhaa aur jehaaN
"aaj mujh peh yeh khulaa raaz k jannat kyaa hai"

paa liyaa jisne tujhe uski tau ban aaee Khudaa!
phir kisee aur k dur ki usae Haajat kyaa hai

Khatm hoN tafruqe Allah! ab is ummat k
dekh le dunyaa k Islam ki waHdat kyaa hai

hai Khudaa aik Nabi (s.a.w) aik aur aik kitaab
hoN muslamaaN bhi kabhi aik yeh Hasrat kyaa hai

koN kehtaa hai k hoti nahiN maqbuul duaa
wAdah eejaab kaa aur iskee ijaazat kyaa hai

Advertisement
· 2 Like · Apr 28, 2015 at 09:04
Category: relegious
 

Latest Posts in poetry

worth it
Posted by sofia abid
Posted on : Nov 09, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS