Poetry / Political

H.u.rehman

deko ، dour ik laash paree hai

kay dayen janib

konay par sunsaan gali kay

kachra daikh rahay ho

uss kay paas lahoo mein luthri

khaak aloodah ، bhikri bhikri

ghair ya apna ، kaun hai jaaney

aao dekhin aur pehchanen

naqsh mita daalay goli nay

rangat khoon mein doob gayi hai

jayb tatolo ، kya rakha hai

ye dou khoon say tar hain

das das kay dou nott rakhe hain

haath jo neechay daba howa hai

iss ki sakht giraft mein kya hai

shayad hai school ka basta

jayb say ye kya jhaank reha hai

ik parcha hai ، khat hai shayad

toty phooti si urdu mein

rang birangi pislon kay

sab rangon say likha howa hai

" aaj jo basta mera

ho jaye gi tum say

aur biscuit bhi lana ،

pyare abboo ! jaldi aana ! ! "

Advertisement
· 2 Like · Feb 06, 2015 at 14:02
Category: political
 

Latest Posts in poetry

Talented and versatile Actress Faiza Hasan
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 22, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS