Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Kon Ehad.O.Peemaan Nibhaata Hai?
Kab Hai Ahad Hum Ne Poora Kia?
Yaad.E.Maazi K Surmaae Dareechon Main
Ujray Loogon K Gird Lipti Zanjeeron Main
Har Ik Dard.O.Alam Bhulaaya Tha
Or Ehadd Liya Tha Rooh.E.Quaid Se
Teri Dharti Ki Esi Pehchaan Rakhain Gay
Es Main Qayam Sada Tera Naam Rakhain Gay
Rafta Rafta Ye B Bhula Diya
Wo Ehadd Jo Kabhi Dharti Se Hum Ne Kiya
K Es Ki Azmat o Namoos Ki Khatir
Thaani The,
Apna Tun Mun Udhaar Rakhain Gay
Khoon.E.Dil Khoon.E.Jigar Day K Bhi
Yaan Hamesha Bahaar Rakhain Gay
Rafta Rafta Ye Bhi Bhula Diya
Wo Ahad Jo Dushman Se Ru Baruu Kiya
K Toor Dalain Gay Hum Sb Zulm.O.Adawat K Pahaar
Or Banain Gay Yahaan Rasm.E.Azaan Ki Dewaar
Es Main Rakhain Gay Qaem Sada Rooh.E.Islaam
Or Jhukaain Gay Sajday Main Sar,Subh.O.Shaam
Aaj In Ehaddon Ko Phir Se Dohraatay
Saamnay Sheher Ki Wo Tasveerain Hain
Bum Dhamaakay, Loot Maar Or Qatal In Main
Har Makeen K Gird Lipti Zanjeerain Hain
Hr Su Phaila Khoof.O.Haraas, Or Dehshat
Un Dekhay Khawaabon Ki Tabeerain Hain
Kab Hai Ehadd Hum Ne Pooora Kiya?
Kon Ehadd.O.Peemaan Nibhaata Hai?

Advertisement
· 1 Like · Sep 22, 2015 at 05:09
Category: occassional-events
 

Latest Posts in poetry

Bride Neckless Set
Posted by Naila Ahmed
Posted on : Sep 29, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS