Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Khuwahishein Hoti Hain Kiya Kiya, Barishon Ki Raat Mein,
Main Hun Aur Lams Tera, Barishon Ki Raat Mein,

Mangtay Hain Bheegi Rut K Saray Manzar Qurb,
Ab Inhein Samajhaon Kiya, Barishon Ki Raat Mein,

Teergi Mein Gham Ki Saya Bhi Kahan Hota Hai Sath,
Main Agar Hoti Hun Tanha, Barishon Ki Raat Mein,

Main yeh Samajhi Yeh Bhi Maara Hai Kissi K Hijr Ka,
Phoot Kar Badal Roya Hai, Barishon Ki Raat Mein,

Din Toh Jaise Taisay Duniya K Jhamailon Mein Kata,
Hijr Ne Tere Rulaya, Barishon Ki Raat Mein,

Mun Chupaye Aik Konay Mein pari Thi Dam Bakhud,
Meri Tanhai BHi Tanha, Barishon Ki Raat Mein,

Daman-e-Qaatil Pe Koi Chheent Tak Aayi Nahi,
Yun Hua Khoon-e-Tamanna, Barishon Ki Raat Mein.....!!!!!!

Advertisement
· 1 Like · Feb 06, 2016 at 02:02
Category: occassional-events
 

Latest Posts in poetry

Painfull Moment
Posted by maleeha bukhari
Posted on : Aug 22, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS