Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

aaj bohat din baad suni hai BARISH ki awaz
aaj bohat din baad kissi manzar nay rusta roka hai
rim jhim ka malboos pahan kar yaad kissi ki aayi hai
aaj bohat din baaad achanak aankh younhi bhar aayi hai
Ankh aur manzir ki wusat mein charon janib barish hai
Aur barish mein, duur kahin ik ghar hai jis ki
Ek ek eent pe terey merey khwab likhey hain
Aur us ghar ko janey wali kuch galiyan hain
Jin mein hum dono ke saye tanha tanha bheeg rahey hain
Darwazey per qufl para hai aur dareechey sooney hain
Deewaron per jami hui kai mein chhup kar
Mausam humko dekh rahe hain
Kitney badil, hum dono ki ankh se ojhal
Baras baras kar guzar chukey hain...

Ek kami si,
Ek nami si,
Chaaron janib phail rahi hai,
Kai zamaney ek hi pal mein
Baham mil kar bheeg rahey hain
Andar yaaden sookh rahi hain
Bahir manzir bheeg rahey hain!!!

Advertisement
· 1 Like · Oct 24, 2015 at 04:10
Category: occassional-events
 

Latest Posts in poetry

My Reaction
Posted by Moiz Arshad
Posted on : May 25, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS