Poetry / Love

Rafeeq

YuN dost saarey apney apney rastey badal gaey
kuch peechey ruk gaey to kuch aagey nikal gaey

Haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui
jitney wafaa ke peikar thay saarey pighal gaey

waadoN ke taarey raatoN sey baahar na jaa sakey
iraadoN ke din nikalney sey pehley hi dhal gaey

wafaaoN ke rang shabnam ke qatroN ney dho deeye
mohabbat ke phool jazboN ki 'shiddat' sey jal gaey

taanoN ke teer dunya ki kamaanoN pe jab charrhey
sabar ke daaman haathon sey yak'dam phisal gaey

aaNkheiN khuleiN to khwaboN ko bura laga magar
kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaey

pehley pehal to ajeeb lagey badley huwey chehrey
phir yuN huwa ke waqt ke saath hum bhi sambhal gaey

Advertisement
· 1 Like · Nov 21, 2018 at 23:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Class
Posted by Abdulla Amin
Posted on : Sep 04, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS