Poetry / Love

ik Anchal say bandha hai sab kuch
ik tasweer
aur tasveer pay bheegay huay hont
ik sandal ki pencil
ik bay rabt sa ukhra huwa khat
ik adad card
jis ko choonay say teri yaad chali aati hai
jis say manoos duaoon ki mehak ati hai
kisi gumnam say shair ka adhora misra
ik pazaib say bichra huwa ujla mooti
ik murjhaye hoi zard chameli ki kalli
jis main ab bhi teri zulfon kay bhanwar liptay hain
ik boseeda paper
jis k konay pay likha naam abhi taza hai
sharbati kanch ki totti hui nazuk chorri
ik toota huwa halka sa gulabi naakhun
ik bosida sa tissue paper bhi
jis pay mehkay huay ashkon k nishaan zinda hain
yehi dolat hai yehi kuch hai asaasa mera
ik anchal say bandha hai sab kuch
ik bheegay huay anchal say bandha hai sab kuch

Advertisement
· 1 Like · Jul 13, 2017 at 06:07
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Jumme Ki Raat - 'Kick'
Posted by Bollywood Music Videos
Posted on : Nov 16, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS