Poetry / Love

Kabhi aah lab pe machal gayi

Kabhi ashq aankh se dhal gaye

Yeh tumare gham k chrag hain

Kabhi bujh gaye kabhi jal gaye

Main khayaal_o_khuwab ki mahfilen

Na baqadre shoq saja saka

Teri ek nazar k sath hi

Mere sab iraade badal gaye

Jo fana huwe gham e ishq main

Unhain zindagi ka na gham huwa

Jo na apni aag main jal sake

Woh parayi aag main jal gaye

Tha unhain bhi meri tara junoon

To phir un main muj main yeh farq kyun

Main greft_e_gham se na bach saka

Woh hadoud gham se nikal gaye

Yeh tumare gham k chrag hain

Kabhi bujh gaye kabhi jal gaye

Kabhi aah lab pe machal gayi

Kabhi ashq aankh se dhal gaye

Advertisement
· 2 Like · Apr 07, 2015 at 06:04
Category: love
 

Latest Posts in poetry

apni kharabion ko pas e pusht daal kar
Posted by asiya faheem
Posted on : Mar 05, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS