Poetry / Love

Usay kehna!
ab abhi din nikalta hai
surmaie sham dhalti hai
rat ki tareeki may
taare bhi chamakte hain,

Usay kehna!
sub gardish-e-mah-o-saal wohi hain
bus aik tum nahi ho
jab chalti hai thandi purwa
jab chatakhti hain kaliyaan chaman may
jab yadoon ke gehray sagar may
koi pata girta hai kisi shakh se
tum yad ati ho bohat

Usay kehna!
rim jhim barasti bondain
bohat shoor machati hain
asmaan pe phelay rang-e-qos-e-qazah
teri ankh ke sub rang chura kar
mujhe bohat rulate hain

Usay kehna!
ay jaane wafa
sub manzar wohi hain
bus
aik tum nahi ho
bus aik tum nahi ho

Advertisement
· 1 Like · Dec 16, 2016 at 13:12
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Balon ki Hifazat
Posted by mahrukh nida
Posted on : Sep 11, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS