Poetry / Love

Rafeeq

Ujar Ujar K Sanwarti Hai Terey Hijar Ki Shaam
Na Pooch Kaisey Ghuzrti Hai Terey Hijar Ki Shaam
Yeh Barg Barg Udaasi Bekhar Rahi Hai Merey...!
K Shaakh Shaakh Utarti Hai Terey Hijar Ki Shaam
Ujaar Ghar Main Koi Chaand Kab Utarta Hai...?
Sawal Mujh Say Yeh Karti Hai Terey Hijar Ki Shaam
Merey Safar Main Ek Aisa Bhi Morr Atta Hai
Jab Apnay Aap Say Darti Hai Terey Hijar Ki Shaam
Buhat Aziz Hain Dil Ko Yeh Zakhm Zakhm Ruttain
Unhi Ruttoon Main Nekharti Hai Terey Hijar Ki Shaam
Yeh Mera Dil, Yeh Sara Sar Nighaar Khanah-E-Ghum
Sada Isi Main Utarti Hai Terey Hijar Ki Shaam
Jahan Jahan Bhi Milain Teri Qurbatoon K Nishaan
Wahan Wahan Say Ubharti Hai Terey Hijar Ki Shaam
Yeh Haadsa Tujhay Shayad Uddas Kar Dey Ga
K Merey Saath Hi Marti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Advertisement
· 1 Like · Nov 22, 2018 at 22:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS