Poetry / Love
Teri saanson mein gulaabon si mehak lagti hai
Husun jis rung mein ho teri jhalak lagti hai
Shaam hotay hi nigaahon mein uter aatay ho
Dil ki dherkan teray pairon ki dhamak lagti hai
es liye phool main collar mein saja layta hoon
es ki khushboo teray aanchal ki mehak lagti hai
Kisi baarish k barastay hi jo ghar aati hai
Teri aankhon mein wo rangon ki dhanak lagti hai
es hi liye to main chand k husun ka garweedah hoon
es k paikar mein teri aankhon ki chamak lagti hai
Jaanay kiun wo meri aankhon ko bhala lagta hai
Jis k chehray pay zara teri jhalak lagti hai.

Advertisement
·
1 Like ·
Jun 09, 2017 at 04:06
Category: love
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video