Poetry / Love

Suna hey shehar walon sey mera SAHIR nahi badla...
key wo AANKHAIN nahi badleen key wo PAIKAR nahi badla...

HASEEN AANKHON ko parhney key abhi tak shoq hain mujhko
mohabat main ujar kar bhi mera andar nahi badla....

main PATHAR sey hoi HEERA mujhey aisa TARASHA hey
badal dala mujhey lekin mera AAZAR nahi badla....

main pehron sochti hon ye jo mujhko bhool betha wo
sabab najaney kia hoga , wo kuch keh kar nahi badla....

bhatakti sham sey kehna puraney dar dareechey hain
akeli raat sey keh do hamara ghar nahi badla.....

meri qismat ney jo likha zakham aakhir nahi badla..
faqat bazoo hi badley hain magar nashtar nahi badla...

ussey kehna shikasta zaat honay sey mohabat mar nahi jati
aienay toot janey sey kabhi manzar nahi badla....

tumharey dairoon main ik umrr sey mehv-e-gardish hon
mera markaz nahi badla mera mehver nahi badla.....

meri jaan doob key ubhri hey meri sans bhi jaisay
mera matam nahi badla mera mehshar nahi badla.....

suna hey aaj bhi sab log ussey hi sajdah kartey hain
Mathay hi badaltay hain magar wo darr nahi badla....

abhi tak apney lafzon sey wo baazi jeeta jata hey
wohi andaz hain us key .... mera shatir nahi badla...!

Advertisement
· 2 Like · Dec 18, 2017 at 03:12
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS