Poetry / Love

Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaye
Zara See Dair Ko Hangama-e-Mahfil Thehar Jaye

Shab-e-Maqtal Ka Sanata Gawahi De Na De Apni
Lahou Ki Mouj May Aks-e-Rukh-e-Qatil Thehar Jaye

Tabiat Toot Kar Chahye Talatum Ashiana Hona
Mager Tashna Labi Ki Zid Ser - e - Sahil Thehar Jaye

Muheet-e-Roz o Shab Say Aaj Tak Hum Per Nahi Utra
Woh Ek Lamha k Apni Umer Ka Hasil Thehar Jaye

Kahin To Saans Lay Thak Kar Hajoom-e-Abla Paye
Kabhi To Halqa-e-Gard-e-Safer , Manzil Thehar Jaye

Koie Hurf-e-Malamat Hoo Kar Zanjeer-e-Dua Chankaye
Kisi Awaz Per To Be Sada Sayel Thehar Jaye

Kahan K Qais Thay Hum Bhi Mager Itna Ghanimat Hai
K Dasht-e-Khawab May Akser Tera Mahmal Thehar Jaye

Bichar Kar Bhi Woh Chehra Aankh Say Hatta Nahi MOHSIN
K Jaisay Jheel Main Aks-e-Meh-e-Kamil Thehar Jaye

Advertisement
· 1 Like · Nov 03, 2016 at 06:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Zameer
Posted by mehwish jatt
Posted on : May 24, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS