Poetry / Love

Na yaqeen wajod pe kaar kr
na rida-e-yaas me aaon ga
Jo libas tujh ko pasand ho
main usi libas me aaon ga

Mujhe raygan na talash kr
main safar me tha
main safar me hon
Kabi noor-e-harf ki raah se
dil-e-khud shanas me aaon ga

Mujhe doosron se talab na kr
mujhe khud se maang k dekhna
Main barang-e-aks-e-gohar numa
kaf-e-iltamas me aaon ga

Meri justaju ne jo dam lya
mere be karan ne kaha mujhe
K main aagahi se hon mawara
na had-e-hawaas me aaon ga

Mujhe ab to shook se bhool ja
yehi naaz kam to nahi k main
Teri chahton ki kitab k
ksi iqtabas me aaon ga

Kabi mujh ko MOHSIN nye dino
ki tapish me dhonday ga wo kahin
Kabi yaad usko gye dino
k safar ki baas me aaon ga

Advertisement
· 1 Like · Jul 17, 2017 at 20:07
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS