Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Suno ay chand c larki
Abhi tum keh rahi thi na
Tumhain mujh se mohabbat ho nahi sakti
Chalo maana k yeh such hai
Magar aye chand c larki
Mujah itna batao tum
K jab mosam badalte hain
Gulon main rang bharte hain
To phir kiyu muztarib ho kar
Akele pan se ghabra kar
Hawa ko raaz deti ho
Mujah awaaz deti ho
Suno aye chand c lerki
Tumhare saamne koi mera jab naam leta hai
To phir kiyu chonk jaati ho
Chalo maana tumhain mujhse muhubbat ho nahi sakti
Magar itna samajh lo tum
Jahan chahat nahi hoti
Wahan nafrat k hone ka koi imkaan nahi hota
Mera dawa hai chahat main
Jahan nafrat nahi hoti
Wahan aksar yeh dekha hai
Agar kuch waqt kat jaye
Samay ki dhool chhat jaye
Tou wehshat bhaag jati hai
Mohabbat jaag jati hay....

Advertisement
· 1 Like · Jun 05, 2017 at 06:06
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Vegetable Art
Posted by Fahad Yousuf
Posted on : Nov 08, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS