Poetry / Love
aasman kay rangon men rang hai shahaabi sa
dhayan me he chehra aik mehtabi sa
manzaron nay kirnon ka perhan jo pehna hai
mein nay es ka rakha hai naam aaftabi sa
kon keh gaya hai moat tootnay say aati hai
gul nay to bikhar kay baagh kar diya gulabi sa
phir hawa chali shayad bhoolay bisray khowabon ki
dil men uth raha hai kuch shoq iztarabi sa
talkhiyon nay phir shayad ik sawal dohraya
ghul raha hai honton men zaaiqa jawabi sa
harf pyar kay saray aa gaey thay aankhon men
jab liya tha haathon men chehra woh kitabi sa
boond boond hoti hai rang o noor ki barkha
jab bhi mosam aaya hai naina men sharabi sa....!

Advertisement
·
1 Like ·
Aug 03, 2017 at 21:08
Category: love
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video