Poetry / Love

koii zaNjeer ho,
aahan kii, chaandi ki, rivaayat kii,
muhabbat toRR sakti hai!


yeh aisii Dhaal hai jis par
zamanay ki kisi talwaar kaa loha nahi chalta!
yeh aisaa shehar hai jis meN
kisi ameer, kisi sultan ka sika nahi chalta!
agar chashm-e-tamasha me zara si bhi milavat ho
yeh aaina nahi chaltaa!


yeh aise aag hai jis me
badan sholoN me jaltey hain, to roohain muskurati hain
yeh voh sailaab hai jis ko
diloN kii bastiyaN awaz dey kar Khud bulati hain


yeh jab chaahey kisi bhi Khowab ko tabir mil jay
jo manzar bhuj chukey haiN, un ko bhii tasveer mil jaaye
dua, jo beThikana thi, usay taseer mil jay
kisii rastey meN rastaa pochti taqdeer mil jaaye


muhabbat rok sakti hai samay k tez dhaaray ko!
kisii jaltey shararay ko, fanaa k istaaray ko!
muhabbat rok sakti hai kisi girtey sitarey ko!
ye chakna choor aainey k raizay joRR sakti hai
jidhar chahay yeh lagam mousam ki morr sakti hai!

koii zanjeer ho, us ko muhabbat toRR sakti hai...!

Advertisement
· 1 Like · Oct 14, 2017 at 09:10
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Saari Dunya k Damaad
Posted by hina raheel
Posted on : Sep 05, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS