Poetry / Love

Mohammed Anwar

khushhal say tum bhi lagtay ho, yon afsurda to ham bhi nahin
par janenay walay jantay hain , khush ham bhi nahin khush tum bhi nahin

tum apni khudi kay pehray main, or dam-e-ghoror main jakray hoaye
ham apnay zaam kay narghay main , ana hath hamaray pakray hoaye

ik muddat say ghaltan paychan, tum rabt-o-guraiz kay dharon main
ham apnay aap say uljhay hoaye, pachtaway kay angaron main

mahsor-e-talatum aaj bhi ho, go tum nay kinaray dhoond liaye
tofan say sanbhlay ham bhi nahin, kahnay ko saharay dhoond liaye

khamosh say tum ham mohar ba-lab, jug beet gaye tuk baat kiye
suno khail adhora chortay hain, bina chal chalay bina maat kiye

jo bhagtay bhagtay thak jain, wo saaye ruk bhi saktay hain
chalo torro qasam iqrar karain, ham donon jhuk bhi saktay hain..

Advertisement
· 3 Like · Nov 05, 2018 at 23:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Cute love birds
Posted by jiya daniyal
Posted on : Jan 09, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS