Poetry / Love

Muzammil Shahzad

In jheel si gayhrii ankoo may
Ik sham kahi abad to ho

Is jheel kinaray pal do pal
Ik khuab ka nila phole khilay
Wo phole baha day layhroo may
Ik roz khabi hum sham dhalay
Is phole kay bayhtay rangoo may
Jiss waqat larzta chand chalay
Is waqat kahai in ankoo may
Is basray pal ki yadd to ho

In jheel si gayhrii ankoo may
Ik sham kahi abad to ho

Phir chahy umar samandar ki
Har mojj parayshan ho jayay
Har khuab garayza ho jayay
Phir chahy phole kay chayhray ka
Har dard numaya ho jayay
Is jheel kinaray pal do pal
Wo roop nagar ijadd to ho
Din raat kay is ayinay may
Wo akass khabi azadd to ho

In jheel si gayhrii ankoo may
Ik sham kahi abad to ho,

Advertisement
· 1 Like · May 06, 2016 at 14:05
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS