Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

har bezabaaN ko sholaa navaa kah liyaa karo
yaaro sukuut hii ko sadaa kah liyaa karo

Khud ko fareb do k na ho talKh zindagii
har sangdil ko jaan-e-vafaa keh liyaa karo

gar chaahate ho Khush rahen kuchh bandagaan-e-Khaas
jitne sanam hain un ko Khudaa keh liyaa karo

insaan kaa agar qad-o-qaamat na barh sake
tum is ko nuqs-e-aab-o-havaa keh liyaa karo

apne liye ab ek hii raah-e-nijaat hai
har zulm ko razaa-e-Khudaa keh liyaa karo

le de ke ab yahii hai nishaan-e-ziyaa "Qateel"
jab dil jale to us ko diya keh liyaa karo

Advertisement
· 1 Like · Dec 05, 2018 at 22:12
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Naariyal
Posted by mahrukh nida
Posted on : Jun 05, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS