Poetry / Love

gali kochoon mai barg khushk ki surat bikharna tha
hawa say dostii ka koi tau anjaam hona tha

ye sari umr kiss aashuftagi mai raigan kar dii
usee ko yaad rakkha hai jisay dil say bhulana tha

ajab wehshat ka aalam hai samajh mai kuch nahi aata
safar ki shab musafir ko kahan khema lagana tha

diye jo baam par rakhay the mainay bujh gaye saray
isii taareek shab mai usko meray ghar aana tha

wo jab ojhal huwa to ham bhi apnay aap say chonkay
usay aawaz deni thi usay wapas bulana tha

Advertisement
· 1 Like · Jul 21, 2017 at 18:07
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Corolla xli Pakistan
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 03, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS