Poetry / Love

farz karo tum chat per baithi apne baal sukhate ho
farz karo ke dhoop ka us din kuch kuch rang gulaabi ho
farz karo tum baithe baithe gehri soch mein kho jao
baal sukhana choar ke sar ghutnon pe rakh kar so jao
farz karo us neend mein tum ne dekha aisa sapna ho
be kal ho kar man ye chahe kaash ye sapna apna ho
farz karo tum khat likhne ko kaghaz qalam uthati ho
khat likhne se pehle kaghaz ko khushboo khoob lagati ho
farz karo alqaab pe a kar qalam tumhara ruk jae
nazar tumhari dhuk dhuk karte dil ki janib jhuk jae
farz karo aik naam likho aur likh kar kato phir likho
farz karo sapne afsane khat ka naam muhabbat ho
farz karo hum donon k dil aik hi saath dharaktay hon
farz karo ye saari baatein FARZ na karni parti hon ...!

Advertisement
· 4 Like · Nov 17, 2017 at 04:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Beautilful Marriage
Posted by Zafar Ali Khan
Posted on : Oct 13, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS