Poetry / Love

es DIL Nay Teray Bad Mohabbat Bhi Nahi Ki
Hadd Ye Keh Dharaknay Ki Jasarat Bhi Nahi Ki

Tabeer Ka Aizaaz Howa Hay Usay Hasil
Jis Nay Meray Khowabon Main Sharakat Bhi Nahi Ki

Ulfat Tu Bari Baat Hay Hum Say Tu Sar -e- Shehar
Logon Nay Kabhi Dhang Say Nafrat Bhi Nahi Ki

Aadab -e- Safar Ab Wo Sikhetay Hain Jinho Nay
Do Chaar Qadam Tay Ye Musafat Bhi Nahi Ki

Kia Apni Safai Main Bayaan Detay Ke Hum Nay
Na Karda Gunahoon Ki Wazahat Bhi Nahi Ki

Khamosh Tamashai Kay Manind Sar -e- Bazam
So Zakham Sahay Dil Pay, Shikayat Bhi Nahi Ki

Us Ghar Kay Sab Hi Log Mujhay Chornay Aaye
Dehleez Talak Us Nay Ye Zehmat Bhi Nahi Ki

Us Nay Bhi Ghulamon Ki Safoon Main Humay Rakha
es DIL Pay Kabhi Jis Nay Hakomat Bhi Nahi Ki

Advertisement
· 1 Like · Jun 22, 2017 at 05:06
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Daghe e Nidamat
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 23, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS