Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Eik Masoom Taqadus Mein Bhigoya Hua Lams
Kitna Pakiza Hay Ehsas Mein Dhoya Huwa Lams
Ye Tere Jism Ki Khushbu Ka Sunehra Ehsas
Jis Terha Chand K Halay Me Peroya Hua Lams
Us K Hontoon Ko Mein Chhu Loon To Gumaan Hota Hay
Jese Jannat K Gulaboon Mein Daboya Hua Lams
Jo Meri Rooh Mein Utrey He Chale Jaate Ho
Ik Naye Rang Mein Ubhrey Ga Yeh Boya Hua Lams
Bheegi Khusbo Main Basa, Wasl Me Bheega Bheega
Kitna Masoom Hay Pehlo Mein Yeh Soya Hua Lams
Tishnagi Aan Basi Hay Meri Pooroon Me WASI
Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams

Advertisement
·
1 Like ·
Apr 01, 2017 at 17:04
Category: love
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video