Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Badan se uthti thi us k khushbo, saba k lehjay mein boolta tha
ye meri aankhein thi uska bistar, wo meray khawabon mein jaagta tha

haya se palkein jhuki hoi thin hawa se saansen ruki hoi thin
wo meray senay mein sar chupaey, najnay kya baat, soochta tha!

koi tha chashm e karam ka talib, kisi pe shouq e wisaal ghalib
sawaal phailay thay chaar janib, bus aik main tha jo chup khara tha

ajeeb muhabbat ajeeb rut thi, khamoosh bethay hoey thay donon
main uski awaaz sun raha tha, wo meri awaaz sun raha tha

wo aur hon gay ke jin ko "AMJAD" naey manazir ki chaah ho gi
main us k cheray ko dekhta hon, main us k cheray ko dekhta tha!

Advertisement
· 1 Like · Feb 26, 2016 at 23:02
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS