Poetry / Love
Abhi nasar nasar hai zindagi meri zindagi ko ghazal karo
Kabhi aarzuon ke jheel mein meri khwahishon ko kanwal karo
Kabhi khauf hijr-e-taweel ka kabhi shauq hai teri deed ka
Dil-e-muztarib k ye maslay hain jo aao to inhe hal karo
Ye jo sar bureda wajood hai isey apney honton ka lams do
Mujhay zindagi ki talab nahi mere naam bus koi pal karo
Na main khush guman hun wisaal se na tu badguman ho firaaq se
Tere dil ka jo bhi hai faisla meri jaa’n usi pe amal karo
Mere saath chalna hai gar chalo mere dil pe shahi tumhari hai
Mujhey chhorna hai to chhor do jo bhi faisla hai atal karo....!

Advertisement
·
2 Like ·
Dec 02, 2017 at 12:12
Category: love
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video