Poetry / Love

gum shudah mohabbat ke khwaaboN ki tarah hai
woh rooh ke sehraa mein saraabon ki tarah hai

woh zeest kay maktab meiN nisaaboN ki tarah hai
paRhta hooN usay roz kitaaboN ki tarah hai

ab un say khayaaloN meiN hi ho jaati heiN baateN
go beech meiN parda sa hijaaboN ki tarah hai

us shakhs kay lehjay meiN sheeshe ki khanak hai
rag rag meiN utarta hai sharaaboN ki tarah hai

us shakhs kay paikar meiN hai shaakhoN ki lachak si
us shakhs ka chehraa bhi gulaaboN ki tarah hai

jo wasl ki raatoN meiN hai ik maah-e-munawwar
furqat meiN wohi shakhs azaboon ki tarah hai

Advertisement
· 1 Like · Jun 25, 2017 at 09:06
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Amazing Pakistan.
Posted by shabana gul
Posted on : Jan 12, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS