Poetry / Love

Pholon ki rut hay thandi hawayeen

Ab un ki marzi woh ayeen na ayeen

Un ki jafa ya apni wafayeen

Kiya yaad rakheen

Kiya bhool jayeen

Ab un ki marzi

Ayeen na ayeen

Itna bata de gham dene wale

Ansu bahayeen ya muskarayeen

Ruhdaad ulfat kar leen mukamal

Kuch tum sunao kuch hum sunayeen

Sahil bhi apna tufaan bhi apna

Ab paar utrain ya duub jayeen

Bhuli huy baat ek yaad ayi

Lekin saeed ab kis ko sunayeen

Ab un ki marzi woh ayeen na ayeen

Pholon ki rut hay thandi hawayeen

Advertisement
· 1 Like · Apr 15, 2015 at 09:04
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS