Poetry / General

woh ek khuwahish
woh ek kasuk
woh ek sapna
jo ke mere dil ki atha gehraiyon main
sakoot ordhay,dum sadhay betha hai
or us din ka muntazir hai,
jab isse zinda hona hai,
or ek tofaan ki manind,
her shey ko baha ker lejana hai,
mager nahin......
mujhey usse rookna hoga,
apni khuwahishon ko dabana hoga,
apnay sapnon ko torna hoga,
kahin woh apnay saath,
mera sab khuch na baha ker le jay,
kahin mera dost na mujhse chin jay,
kahin woh bhi na mujhse chin jay,
jo kabhi mujhe mila hi nahin,
jo ke mera apna hai,
mera sapna hai,
kahin aasa na ho,
is tofaan ke bais,
meri chahat mujhse chin jay,
kahin aasa na ho kissi ka dil toot jay,
koi rooth jay,
haan mujhe aasa hi karna hai,
is juzbey ko,
is chahat ko,
apnay dil main qeed karna hai,
kiya maloom,
uski bhi koi chahat ho,
uska bhi koi piyaar ho,
haan main yeh ehsaas,
dil ki gehraiyon main,
dafun kar longa,
or usko bhool jaonga,
kiyon ke piyar panay ka naam nahin,
bulke khone ka naam bhi piyar hi hai,
piyar....
piyar jo qorbani maangta hai,
mujhe qorbani hi to deni hai,
apnay juzbon ki qorbani,
apnay sapnon ki qorbani,
or sab se barh ker,
apnay piyar ki qorbani..

Advertisement
· 1 Like · Aug 29, 2015 at 07:08
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Magic for Dogs
Posted by Interesting Videos
Posted on : Oct 05, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS