Poetry / General

Muzammil Shahzad

Main Ne Socha Na Tha
Khawahishain Barf-Zaaron Main Jal Jaain Gii
Or Masloob Ho Jaye Gii Zindagii
Roshnii , Roshnii Ko Nigal Jaye Gii

Main Ne Socha Na Tha
Chaand Gehenaain Ge
Rang Maadoom Ho Jaain Ge
Aanchalon Kii Dhanak Maand Per Jaye Gii
Apnii Touheen Per Muskuraye Ga Dil
Piyaar Ka Zaaiqa Bhool Jaye Ga Dil
Main Ne Socha Na Tha.......

Main Ne Socha Na Tha
Oass Ke Motiiyon Kii Tarah Jag-Magaatii Huee
Apnii Aankhon Main Khawabon Ke Jugnu Liye
Surmaii Baadalon Kii Tarah Raqs Kertii Huee
Chaandnii Raat Main Sheir Kehtii Huee Gaatii Huee
Aagahii Ke Safar Per Nikaltay Huay
Ek Larkii Kahin
Ilim-O-Daanish Ke Malbay Talay Dab Ke Reh Jaye Gii
Main Ne Socha Na Tha

Advertisement
· 1 Like · Nov 19, 2015 at 15:11
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Mufeed Totkay
Posted by bilal ahmed khan
Posted on : Sep 09, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS