Poetry / General

Muzammil Shahzad

hmm tairay shehar mein aaye hain musafir ki tarah
sirf aik baar mulaqaat ka mouqa day day

meri manzil he kahan mera thikana he kahan
subah tak tujh say bicher kar mujahe jana he kahan
sochnay kay liye ik raat ka mouqa day day

apni aankhon mein chhupa rakhay hin jugno mein nay
apni palkon peh saja rakhay hain ansoo mein nay
meri aankhon ko bhi barsaat ka mouqa day day

aaj ki raat mera drdِ muhabbat sun lay
kapkapatay hoye honton ki shikayat sun lay
aaj izhaar khayalat ka mouqa day day

bhoolna tha tou yeh iqraar kya hi kiyon tha
bay wafa tou nay mujahe pyar kya hi kiyon tha
sirf dou chaar sawalaat ka mouqa day day

hmm tairay shehar mein aaye hain musafir ki tarah
sirf aِk baar mulaqaat ka mouqa day day

Advertisement
· 1 Like · Mar 26, 2016 at 14:03
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS