Poetry / General

Sana Ali

Boht ummid rakhna aur phir bey aas hona bhi
Bashar ko maar daita hai boht hassas hona bhi

suno ikk kaan se aur doosre se phaink do baahar
boht nuqsan de hai saheb e ahsas hona bhi

agarchay tum dikhawe k liye hee sath ho merey
chalo, itna hee kaafi hai tumhara paas hona bhi

yunhi to abr e rehmat ki talab karta nahi hon mai
zaroori hai muqaddar mai zara si pyaas hona bhi

kayee chehrey latak jate hain khushyon ki khabar sunn kar
hamain to roop daita hai ghamon ka raas hona bhi

jale gi khud ba khud SAADI dilon mai pyar ki shammey
ghanimat hai usey mera abhi ahsas hona bhi

Advertisement
· 1 Like · Sep 08, 2015 at 12:09
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Dear God, Thank Your For Being There
Posted by nimrah butt
Posted on : Jan 04, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS