Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Apne Hone Ka Ham Iss Tarha Pata Dete Thay
Khak Muthhi Mai Uthhate Thai Urha Daite Thay

Be Samar Jaan K Ham Kaat Chuke Hain Jo Shajar
Yaad Aate Hain K Be Chare Hawa Daite Thay

Uski Mehfil Mai Wahi Such Tha Wo Jo Kuch Bhi Kahey
Ham Bhi Goongon Ki Tarah Haath Uthha Daite Thay

Abb Se Pehle Jo Qatil Thai Boht Achhey Thay
Qatl Se Pehle Jo Pani Tau Pila Daite Thay

Wo Hamain Kosta Rehta Tha Zamane Bhar Mai
Aur Ham Apna Koi Shair Suna Daite Thay

Ghar Ki Ta'meer Mai Ham Barson Rahe Hain Pagal
Roz Deewar Uthhate Thay Gira Daite Thay

Hamm Bhi Abb Jhoot Ki Paishani Ko Bosa Daingey
Tum Bhi Sach Bolne Waley Ko Dua Dete Thay

Advertisement
· 1 Like · Dec 10, 2015 at 13:12
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Comment.
Posted by shaista Anam
Posted on : Mar 14, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS