Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Suna Hay Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain
So Us Kay Shaher Main Kuch Din Thehar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Rabt Hay Us Ko Kharab Haloon Say
So Apnay Aap Ko Barbaad Kar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Dard Ki Gaahak Hay Chash m Naaz Us Ki
So Hum Bhi Us Ki Gali Say Guzar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Us Ko Bhi Hay Shair o Shairy Say Shaghaf
So Hum Bhi Mojze Apnay Hunar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Bolay Tu Batoon Say Phool Jhartay Hain
Ye Baat Hay Tu Chalo Baat Kar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Raat Usay Chaand Takta Rahta Hay
Sitaray Baam Falak Say Utar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Raat Ko Usay Titliyaan Satati Hain
Suna Hay Raat Ko Jugno Thaher Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Hashar Hain Us Ki Ghazal See Aankhain
Suna Hay Us Ko Heran DashT Bhar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Raat Say Bhar Kar Hain Kaaklain Us Ki
Suna Hay Shaam Ko Saaye Guzar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Us Ki Siya chashmagi Qyamat Hay
So Us Ko Surma Frosh Aah Bhar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Us Kay Labon Say Gulab Jaltay Hain
So Hum Bhi Bahar Pay Elzaam Dhar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Aaina Tamsaal Hay Jabeen Us Ki
Jo Saada Dil Hain Usay Ban Sanwar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Jab Say Hamail Hain Us Ki Gardan Main
Mezaaj Or Hi Lal o Guhar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Chashm Tasawur Say Dasht Imkaan Main
Palang Zaviye Us Ki Kamer Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Us Kay Badan Ki Tarash Aisi Hay
Keh Phool Apni Qabaye Kutar Kay Dekhtay Hain


Bas Ak Nigaah Say Lutta Hay Qafla Dil Ka
So Rahzan Tamanna Bhi Dar Kay Dekhtay Hain


Suna Hay Us Kay Shabistaan Say Mutasil Hay Bahisht
Makeen Edhar Kay Bhi Jalway Udhar Kay Dekhtay Hain


Ruke Tu Gardishain Us Ka Tawaf Karti Hain
Chalay Tu Us Ko Zamanay Thehar Kay Dekhtay Hain


Kesay Naseeb Kay Bay Pairhan Usay Dekhay
Kabhi Kabhi Dar o Dewaar Ghar Kay Dekhtay Hain


Kahaniyaan Hi Sahi Sab Mubalghay Hi Sahi
Ager Wo Khowab Hay Tabeer Kar Kay Dekhtay Hain


Ab Us Kay Shaher Main Theray Kay Kooch Kar Jaye
Faraz Aao Sitaray Safer Kay Dekhtay Hain


Abhi Kuch Or Karishmay Ghazal Kay Dekhtay Hain
Faraz Ab Zara Lehja Bdal Kay Dekhtay Hain


Judaiyaan Tu Muqaddar Main Hain Phir Bhi Jaan -e- Safer
Kuch Or Dorr Zara Saath Chal Kay Dekhtay Hain


Rah -e- Wafa Main Hareem Khayal Koii Tu Ho
So Apnay Aap Say Aagay Nikal Kay Dekhtay Hain


Tu Samnay Hay Tu Phir Yaqeen Kyun Nahi Aata
Yeh Bar Bar Jo Aankhon Ko Mal Kay Dekhtay Hain


Yeh Koun Log Hain Mujood Teri Mehfil Main
Jo Lalchon Say Tujhay , Mujh Ko Jal Kay Dekhtay Hain


Yeh Qurb Kia Hay Keh Yak Jaan Howay Na Dorr Rahay
Hazaar Ak Hi Qalib Main Dhal Kay Dekhtay Hain


Na Tujh Ko Maat Hoii Na Mujh Ko Maat Hoi
So Ab Kay Dono Hi Chalain Bdal Kay Dekhtay Hain


Yeh Koun Hay Sar -e- Sahil Kay Dobanay Walay
Samandaron Ki Tahon Say Uchal Kay Dekhtay Hain


Abhi Talak Na Kundan Howay Na Raakh Howay
Hum Apni Aag Main Har Rooz Jal Kay Dekhtay Hain


Bohat Dino Say Nahi Hay Kuch Us Ki Khair Khaber
Chalo Faraz Koye -e- Yaar Chal Kay Dekhtay Hain,

Advertisement
· 2 Like · Jul 20, 2016 at 13:07
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS