...hazaal si ankhain Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein Mizaaj aur hi laal o gohar ke dekhtay hain Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain ab usske shaha...
Sponored Video