Search
Poetry / Sad
Saeed Sarwar
Dil Mera Har Lamha Jisay Panay Ki Dua Krta Hai.
Dil mera har lamha jisay panay ki dua krta ha,
Misl-e-khushbu meri saanson men basa krta hy,
Us k lehjay se gulabon ki mehak aati hy,
Baat karta hy to waqt ruka
karta hy,
Sochta hoon k ek bar bewafai karun,
Main bhi dekhun k wo kaisay wafa karta hy…
Misl-e-khushbu meri saanson men basa krta hy,
Us k lehjay se gulabon ki mehak aati hy,
Baat karta hy to waqt ruka
karta hy,
Sochta hoon k ek bar bewafai karun,
Main bhi dekhun k wo kaisay wafa karta hy…
·
4 Like ·
Oct 16, 2018 at 16:10
Category: sad
Poetry / Sad
Moiz Arshad
Phir Wo Yaad Aaya Hay Lamha Bhar Ko.
Phir Wo Yaad Aaya Hay Lamha Bhar Ko,
Phir Wo Sadiyon Ki Judai Day Ga....
Phir Wo Sadiyon Ki Judai Day Ga....
·
0 Like ·
Aug 23, 2018 at 09:08
Category: sad
Advertisement
Jokes / Miscellaneous
Urooj Imran
Lamha E Fikriya
·
2 Like ·
Jun 21, 2018 at 16:06
Category: miscellaneous
Poetry / Poetry Sms
Meena Kumari
Sakoon Ka Aik Lamha Bhi Nahi Muyassar Mujko
Sakoon ka Aik Lamha Bhi Nahi Muyassar Mujko.....,
Yadon ko SuLati Hoon...To...Tanhai jaag Uthti Hai.....!!
Yadon ko SuLati Hoon...To...Tanhai jaag Uthti Hai.....!!
·
2 Like ·
Feb 04, 2018 at 00:02
Category: poetry-sms
Poetry / Sad
Qalb E Muztarib Thehar Lamha Bhar K Liye
Qalb-e-muztarib thehar lamha bhar k liye
Uski rukhsat ka hangaam darpesh hy
Wasl-e-shereen sy gulrang mahol me
Ek kahani ko anjaam dar'pesh hy
Aakhri bar ji bhar k main dekh loon
Kya khaber phir kabhi hm milain na milain
Shaakh-e-farda samer bar ho k na ho
Kis ko maloom phir gul khilain na khilain
Aesi saat kahaan aesa manzr kahaan
Rang he rang hy roop he roop hy
Chaoon aanchal ki le loon gharri do gharri
Phir safer dr'safer dhoop he dhoop hy...!

1 Like ·
Dec 25, 2017 at 02:12
Category: sad
Poetry / Sad
Muhabbaton Mein Har Ek Lamha Wisal Hoga Ye Tay Howa Tha
muhabbaton mein har ek lamha wisal hoga ye tay howa tha
bichar ke bhi ek dosrey ka khayal hoga ye tay howa tha
wohi howa na badaltey muosam mein tum ne ham ko bhula dia hey
koi bhi rut ho na chahaton ko zawal hoga ye tay howa tha
ye kia ke sansain ukhar gai hain safar ke aghaz se hi yaro
koi bhi thak kar na rastey mein nidhal hoga ye tay howa tha
juda hoe hain tu kia huwa phir yehi to dastoor-e-zindagi hey
judaiyon mein na qurbaton ka malal hoga ye tay howa tha
chalo ke Faizan kashtiyon ko jala dain gumnam sahilon per
ke ab yahan se na wapsi ka sawal hoga ye tay howa tha...!

14 Like ·
Sep 08, 2017 at 17:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kaha Dil Nay Dharak Kar, Vasl Ka Lamha Nazar Aaye
Kaha dil nay dharak kar, vasl ka lamha nazar aaye
jawaban aankh mein yaadon bharay aansu ubher aaye
kaha! jazbaat kyun alfaaz mein dhalnay say qaasir hain?
kaha! kuch rang qudrat kay, bayaan say balatar aaye
kaha! gham ki tapish to aankh ko bay noor ker de gi
kaha! qudrat Khuda ki, aankh mein paani utar aaye
kaha! tum beej dil mein pyar kay bo kar kahan gum ho?
zara daikho to palkon par, samar kitnay utar aaye
abhi to ik lehar maachli hai, bolo! darr gaye ho kyun?
barri baatein banatay thay, behar aaye, bhanwar aaye
kaho! kitnay ishaaray aur daikho gay to jaano gay
suno! rakht-e-safar bandho, najanay kab safar aaye
Kaha! main nay payamber der payamber sab sikha daala
jahannum bhi hai jannat bhi, idher aaye, udher aaye

Apr 24, 2017 at 16:04
Category: sad
Poetry / Love
Yaad Ata Hai Dard Ka Aik Aik Lamha
yaad ata hai dard ka aik aik lamha
koi muskraie tu ashk ankh se utar ata hai
waqt e judaie uski ankh bhi pur num thi
saat pardon may jazbaat chupana usay ata hai
khud pather ki moorat banna betha raha sadaa
moom ki manind mujhe pighlana usay ata hai
pehlay taamer may raha wo meri lamha lamha
phir muskara kar mitana bhi usay ata hai
nighaoon se kaie baar sawal karta per
khud se jawab sooch laina khoob usay ata hai
palkoon pe betha kar pojte rehna
nazroon se giraana bhi usay ata hai
mai samjha jeet gayea piyar uska
maat dena khoob usay ata hai
Qais baat karna tu sanbhal kar karna
dil tornay ka har tareeqa usay ata hai

Dec 17, 2016 at 12:12
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Teri Furqat Ka Jo Jalta Hua Lamha Hoga
Apne Khuwabon Mei Tujhe Jis Ne B Dekha Hoga
Aankh Khulte He Tujhe Dhoondhne Nikla Hoga
Zindagi Sirf Tere Naam Se Mansoob Rahe
Jane Kitne He Dimaghon Ne Yeh Socha Hoga
Dost Hum Us Ko He Paigham-E-Karam Samjhenge
Teri Furqat Ka Jo Jalta Hua Lamha Hoga
Daaman-E-Zeest Mei Ab Kuch B Nahe Hai Baqi
Maut Aai To Yaqeenan Usay Dhoka Hoga
Roshni Jis Se Utar Aai Lahoo Mei Mere
Ae Maseeha Woh Mera Zakhm-E-Tamanna Hoga
,

May 27, 2016 at 07:05
Category: love
Sponored Video