Poetry / Sad

Fayyaz Karimi

Main Shaakh Se Urra Tha SitaarOn Ki Aas Mein
Murjha Ke Aa Gira Hun Magar Sard Ghaas Mein..
SochO To SilwatOn Se Bharii Hai Tamaam Ruhh
DekhO To Ek Shikann Bhi Nahi Hai Libaas Mein..
Sehraa Ki Bood-O-Baash Hai, Achhi Na Kiun Lage
Sookhi Hui Gulaab Ki Tehni Glaass Mein..
Chamke Nahi Nazar Mein Abhi Naqsh Door Ke
MasrOOf Hun Abhi Aml-E-In''akaas Mein..
DhOke Se Us Hasseen Ko Agar ChOOm Bhi Lia
PaaO Ge Dil Ka Zehr LabbOn Ki Mithaas Mein..
Taara Koi Riwaa-E-Shab-E-Abr Mein Na Tha
Betha Tha Main Udaas Bayabaan-E-Yaas Mein..
Ju-€-Rawaan-€-Dasht ! Abhi Sookhna Nahi
Saawan Hai Door Aur Wahi Shiddat Hai Peyaas Mein..
Rehta Tha SaamNe Tra Chehra Khula Hua
Parrhta Tha Main Kitaab Yahi Her Claass Mein..
KaantOn Ki Baarr Phaand Gya Tha Magar Jan¡Ä
Rasta Na Mil Saka Mujhe PhOOlOn Ki Baas Mein...

Advertisement
· 0 Like · Jun 16, 2018 at 00:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Don't Fake It
Posted by Video Ads
Posted on : Oct 11, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS