Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Paani Aankh Main Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai
Ab Bhi Jalta Shehr Bachaya Ja Sakta Hai
Aik Mohabbat Aor Wo Bhi Nakaam Mohabbat
Lekin Is Se Kaam Chalaya Ja Sakta Hai
Dil Par Pani Peenay Aati Hain Ummeedain
Is Chashmay Main Zehr Milaya Ja Sakta Hai
Mujh Gumnaam Se Poochtay Hain Farhaad-O-Majnoon
Ishq Main Kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai
Ye Mahtaab Ye Raat Ki Paishaani Ka Ghao
Aisa Zakhm To Dil Par Khaya Ja Sakta Hai
Phata Purana Khwab Hai Mera Phir Bhi Tabish
Ismain Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai
,

Advertisement
·
1 Like ·
Apr 30, 2016 at 19:04
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video