Poetry / Sad

Koi Waqt Purana Yaad Aya

Koi Waqt Purana Yaad Aya !!
Phir Dour Suhana Yaad Aaya !!
Or Chupkay Se In dewaron Pe !!
Kuch Likh Kar Jana Yaad Aaya !!
Tera Milna Neend Ki Chaaon Mein !!
Or Sir Rakh Dena Kandhay Per !!
Mera Ye Kehna Koi Dekh Na Le !!
Tera Wo Ghabrana Yaad Aaya !!
Aisa Bhi Tu Aksar Hota Tha !!
Mein Tuj Ko Chorne Jata Tha !!
Barish ki Bheegi Raaton Mein !!
Tera Hath hilana Yaad Aaya !!
Wo Waqt Gaya Beetay Lamhe !!
Ab Her Janib Tanhai Hai !!
Bas Ek hi Manzar Ankhon Mein !!
Tera Chor Ke Jana Yaad aaya !!

· 1 Like · Dec 19, 2017 at 03:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jo Ghair Thay Wo Isi Baat Per Hamaray Huway

Jo ghair thay wo isi baat per hamaray huway
k hum se doost bohat be khabr hamaray huway

kisay khabar wo mohabbat thi ya raqabat thi
bohat se log tujhe dekh kr hamaray huway

ab ik hajoom e shikesta dilan hai sath apnay
jinhain koi na mila humsafar hamaray huway

kisi ne gham to kis ne mizaj e gham bakhsha
sab apni apni jagah charagar hamaray huway

bujha k taaq ki shamain na dekh taroon ko
isi junoon main to barbaad ghar hamaray huway

wo aitamad kahan se Faraz lain gay
kisi ko choar k wo ab ager hamaray huway...!

· 1 Like · Dec 17, 2017 at 02:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sawan Bhaadon Apni Aankhen

Sawan bhaadon apni aankhen, phir us rut ki baat kahan
Apney ashk musalsal barsain apni si barsaat kahan

Chand ne kya kya manzil kar li, Nikla, chamka, doob gaya
Hum jo aankh jhapak lain, so lain, ay dil hum ko raat kahan

Preet ka karobaar bohat hay, ab tu aur bhi phail chala
par wo hum se aa k mil len, ese bhi halaat kahan

Qais ka naam suna hi ho ga, hum sey bhi mulaqaat karo
Ishq o junoon ki manzil mushkil, sab ki ye oqaat kahan...!

· 1 Like · Dec 16, 2017 at 15:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mere Liay To Harf E Dua Ho Gya Wo Shakhs

Mere liay to harf e dua ho gya wo shakhs
saare dukhon ki jese dua ho gya wo shakhs

men aasman pe tha to zameen ki kashish tha wo
utra zameen pe to khlaa ho gya wo shakhs

men us ka haath dhekh raha tha k dafatan
simta simat k rang e hina ho gya wo shakhs

phirta hay le k aankh ka kashkol dar ba dar
dil ka bharam luta to gadaa ho gya wo shakhs

yun bhi nahi k pass hay mere wo hum nafas
ye bhi ghalat ke mujh se juda ho gya wo shakhs

parhta tha men namaz samajh ker usse rasheed
phir yun hua k mujh se qazaa ho gya wo shakhs....!

· 1 Like · Dec 16, 2017 at 09:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yahan Sabko Miley Pyar Ye Zaroori To Nahi Hai

Yahan Sabko Miley Pyar Ye Zaroori To Nahi Hai
Ho Qismat Par Ikhtiyar Ye Zaroori To Nahi Hai

Dard Dil Mein Agar Ho To Rooh Roti Hai
Aankhein Roye Zaar Zaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Phoolon Ki Chubhan See Joo Daman Howa Chalni
Ho Usmey Koi Khaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Jo Har ghari Khatey Hain Sang Marney Ki Kasmein
Ho Sang Jeeney Ko Taiyaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Umeed Main Jiski Teri Palkein Howi Pathhar
Usey Ho Tera Intezar Ye Zaroori To Nahi Hai

Band Ker Rona Badnaseebi Par Apney
Ziist See Ho Sab Bezar Ye Zaroori To Nahi Hai...!

· 2 Like · Dec 16, 2017 at 03:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tanhai Main Jab Meri Tasweer Dekhna

Tanhai Main Jab Meri Tasweer Dekhna
Ankhoun Main Jhankna Koi Tahreer Dekhna

Hojayen Jab Qabool Dua Tark-e-Ishq Ki
Tab Tum Meri Duaoun Ki Taseer Dekhna

Hona Khumar-e-Ishq Main Ger Mubtila Toh Phir
Be khwabi Main Khwab Ki Tabeer Dekhna...!

· 1 Like · Dec 15, 2017 at 13:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aa Bhii Jao K Zindagi Kam Hay

Aa bhii jao k zindagi kam hay
Tum nahin ho to har Khushi kam hay

Waada kar k ye kon aaya nahin
Shahar main aaj roshni kam hay

Janay kya ho gaya hay mosam ko
Dhup ziyada hay chandni kam hay

Aaina dekh kar Khayal aaya
Aaj kal un ki dosti kam hay

Teray dam say hi main mukammal hon
Bin teray teri RAZA kam hay...!

· 1 Like · Dec 15, 2017 at 07:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Palkon Pe Aansoon Ko Sajaya Na Jaa Saka

Palkon pe aansoon ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish k ba wajood
aankhon main aansoon ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas es khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskura rha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla unka mitaya na jaa saka...!

· 1 Like · Dec 15, 2017 at 01:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Es Jahaan Mein Mohabbat Kaash Na Hoti

Es Jahaan Mein Mohabbat Kaash Na Hoti
To Safar-E-Zindagi Mein Mithaas Na Hoti

Agar Milti Bewafao Ko Saza Mein Maut To
Deewano Ki Kabrein Udaas Na Hoti

Meri Mohabbat Ne Unhe Khushi De Di
Badle Mein Mujhe Khamoshi De Di

Khuda Se Dua Mangi Thi Marne Ki
Lekin Us ne Bhi Jeene Ke Liye Zindagi De Di...!

· 2 Like · Dec 14, 2017 at 06:12
Category: sad
 
qadar karni hai to zindagi mein karo
Posted by Mohammad Iqbal
Posted on : Mar 17, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS