Poetry / Sad

Wafa Ruswa Nahi Kerna

Wafa ruswa nahi kerna,
Suno! aisa nahi kerna

Main pehlay hi akaila hon
Mujhey tanha nahi kerna

Meri in ankhon ko
Kabhi sehra nahi kerna

Judai bhi jo aa jaya
To dil choota nahi kerna

Bharoosa bhi zarori hay
Magar sab ka nahi kerna

Muqaddar phir muqadar hay
Kabhi daawa nahi kerna

Jo likha hay zaroor hoo ga
Kabhi shikwa nahi kerna....!

· 1 Like · Dec 28, 2017 at 19:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Khwab Ki Tarah Bikhar Jane Ko Jee Chahata Hai

khwab ki tarah bikhar jane ko jee chahata hai
aisi tanhai k mar jane ko jee chahata hai

ghar ki vehshat se larazata hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko jee chahata hai

dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko jee chahata hai...!

· 1 Like · Dec 28, 2017 at 07:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Agar Muhabbat Yehi Hay Jaana

Libas tann se utaar dena..............!!
kisi ko bahon k haar dena............!!
Phir uske jazboon ko maar dena....!!
...
agar muhabbat yehi hay jaana.........!!
to "maaf krna mujay nhi hai"........!!

Gunah krnay ka soch lena............!!
Haseen paryan daboch lena........!!
phir uski ankhen he noch lena......!!

kisi ko lafzon k jaal dena............!!
kisi ko jazboon ki dhaal dena........!!
phir uski izzat uchaal dena...........!!

agar muhabbat yehi hai jaana.....!!
to maaf krna mujhay nhi hai.......!!

Andhair nagri me chaltay jana....!!
haseen kaliyan masaltay jana......!!
or apni fitrat pe muskurana.......!!

saja raha hai har ik dewana.......!!
khyal-e-husn o jamal jaana.......!!
khyal kya hain hawas ka tana....!!

AGAR MUHABBAT YEHI HAI JAANA
TO MAAF KRNA.... MUJHAY NHI HAI....!!

· 1 Like · Dec 28, 2017 at 01:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thi

Kuch ishq tha kuch majboori thi so main nay jeevan vaar dia
Main kaisa zinda aadmi tha ek shakhs nay mujh ko maar dia

Ik sabz shaakh gulaab ki thi, Ek dunia apnay khawb ki thi
Woh aik bahaar jo Ayee nahee es k liye sab kuch haar dia

Main khuli huee ek sachayi mujhe samaghnay walay jaantay hain
Main nay kin logon se nafrat ki main nay kin logon ko pyar dia...!

· 1 Like · Dec 27, 2017 at 12:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mera Pyaar Karne Ka Tareqa Kuch Nirala Tha

Duniya Mein Pyaar Woh Hai Jo Sirf Lafzon Se Zaahir Ho!
Par Mera Pyaar Karne Ka Tareqa Kuch Nirala Tha...

Yeh Nahi Ke Mujhe Andhero Mein Chalne Ki Aadat Naa Thi,
Par Tu Mere Liye, Har Andheri Raat Ka Ek Ujaala Tha...
...
Jhootay Dilasoon Se Kabhi Zindagi Nahi Chalti Aey Dost!
Jo Chalta Raha Zindagi Bhar,dekho To Uske Paon Mein Hi Chaala Tha...

Pathar Se Bhi Pyaar Karoge To Woh Murat Ban Jaayega,
Patharoon Ko Bhi Aakhir pyaar Ne Izzat Se Har Jagah Sawara Tha...

Haathon Ki Lakeeron Mein Jo Naa Mil Saka Naa Sahi !
mainey Ne To Usay Apni Har Soch Samajh Mein Dhala Tha...!

· 1 Like · Dec 27, 2017 at 06:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aayen Hum

Ye aur baat teri gali mein na aayen hum
lekin ye kya ke shahar tera chod jayen hum
muddat hui hai ku-e-butan ke taraf gaye
avargi se dil ko kahan tak bachayen hum
shayad ba qaid-e-zist ye saat na aa sake
tum dastan-e-shauq suno aur sunayen hum
be noor ho chuki hai bahut shahar ki faza
tareek raston mein kaheen kho na jayen hum
us ke bagair aj bahut jee udas hai
jalib chalo kaheen se usay dhundh layen hum...!

· 1 Like · Dec 26, 2017 at 05:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kion Ajnabi Hain Raahain

Kion ajnabi hain raahain
Kion chup hay aasman
Toti hain kuch lakerain
Aur ham hain darmiyan
Zindagi ham tujhey kahan dhundain
Ankahey lafzoon ka pata poucheen
Dono aankheen band kar k tuj ko dekheen
Diya kion jaley kesi hay agan
Paniyon sey bhi hoti hay jalan
Waqt ki haar sey naheen haarey
Jeet kar lamhoon sey naheen jeetey
Leharein chalti jayeen aur kinaray sochain
Shaam kion dhaley kesi hay agan
Paniyon sey bhi hoti hay jalan
Kion ajnabi hain raahain
Kion chup hay aasman
Toti hain kuch lakerain
Aur ham hain darmiyaan...!

· 2 Like · Dec 25, 2017 at 09:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Qalb E Muztarib Thehar Lamha Bhar K Liye

Qalb-e-muztarib thehar lamha bhar k liye
Uski rukhsat ka hangaam darpesh hy
Wasl-e-shereen sy gulrang mahol me
Ek kahani ko anjaam dar'pesh hy
Aakhri bar ji bhar k main dekh loon
Kya khaber phir kabhi hm milain na milain
Shaakh-e-farda samer bar ho k na ho
Kis ko maloom phir gul khilain na khilain
Aesi saat kahaan aesa manzr kahaan
Rang he rang hy roop he roop hy
Chaoon aanchal ki le loon gharri do gharri
Phir safer dr'safer dhoop he dhoop hy...!

· 1 Like · Dec 25, 2017 at 02:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga

Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hijar Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakhm Bharey ga Chahat ka
Ik Dard Thamay Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka

Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho...!

· 1 Like · Dec 24, 2017 at 20:12
Category: sad
 
i Love ALLAH
Posted by jiya daniyal
Posted on : Aug 14, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS