Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Taar E Mazgaan Nahee Mil Raha Tha

Taar-e-Mazgaan Nahee Mil Raha Tha

Zakham Kis Yaad Ka Sil Raha Tha


Barf Mein Roshni Ghul Rahee Thi

Wo Mujhe Khwaab Mein Mil Raha Tha


Kuch Ajab Roshni Baagh Mein Thi

Phool Kis Rung Ka Khil Raha Tha


Saamnay Tha Wo Aur Dono Chup Thay

Ab Na Ham Thay Na Wo Dil Raha Tha


Rung-o-Rogan Ki Baatain Mehel Mein

Sheher Bunyaad Se Hil Raha Tha

· 1 Like · Jan 02, 2018 at 12:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tamam Sheher Ko Heraan Karne Wala Hoon

Tamam sheher ko heraan karne wala hoon,
Main apne hone ka aelaan karne wala hoon,

Kahin gira ke teri yaad ka yeh kuh-e-giraan,
Safar ko aur bhi asaan karne wala hoon,

Yeh silsila meri ankhon pe hi nahin moqoof,
Mein tera sheher bhi viraan karne wala hoon,

Abhi woh morr nahin aya is kahani mein,
Jab mein sab ko pareshaan karne wala hoon,

Yeh kis ne raat mujhe neend se jaga ke kaha,
Chiraag-e-khawab tujhe daan karne wala hoon,

Tamaam umar kahan hai woh meri kismat mein,
Bass aik raat ka mehmaan karne wala hoon..

· 1 Like · Jan 02, 2018 at 06:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sir Jhukanay Ki Aadat Nahi Hay

Sir jhukanay ki aadat nahi hay,
Aansoo bahanay ki aadat nhi hay,

Hm kho gaye to pachtao gay bohat,
Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay,

Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jatay,
Lekin Haath phelanay ki aadat nahi hay,

Teri yaaden aziz hen bohat,
Magar Waqt ganwanay ki aadat nahi hay,

Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,
Shikwa-e-dil lab py lanay ki aadat nahi hay,

Bd dua bhi kya kren HAQ men tumharay?
Hamain to Dil b dukhanay ki aadat nahi hay...!

· 2 Like · Jan 02, 2018 at 00:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Saarey Waadon Ko Bhula Sakta Hun

Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!

Main tumhein choar k ja sakta hun,
lekin rehne do..!

Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakta hun,
lekin rehne do..!

Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!

Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do...!

· 1 Like · Jan 01, 2018 at 12:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jo Guzar Gia So Guzar Gia

Wo Udaas Dhoop samaitt Kr
Kahin Wadiyon Mein Chal Dia
Ay Mere Dil Tu Na De Sada
Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Ye Safar Kitna Taveel Hai
Yahan Waqt Kitna Qaleel Hai
Kahan Lot Kr Koi Ayega?
Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Wo Wafaien Thi ya Jafaien Thi
Ye Na Soch Kis Ki Khataien Thi
Wo Tera Hai UsKo Gale Laga
Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Ye Duniya aik Fareb Hai
Yahan Koi Kisi Ka ApNa Nahi
Ye ujaar Mehlon Ki Sun Sada
Jo Guzar Gia So Guzar Gia...!

· 1 Like · Dec 30, 2017 at 22:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Khafa Na Raha Karo Her Waqt

Khafa Na Raha Karo Her Waqt
Hansa Bhi Karo Kisi Waqt

Jab Dil Ki Dahleez Per Ahat Hoti Hai
To Tare Ane Ka Andesha Hota Hai Her Waqt

Jab Zindagi Hans K Milti Hai
To Tera Chehra Nazar Ata Hai Us Waqt

Jab Gam Ka Badal Umandta Hai
To Teri Yad Stati Hai Us Waqt

Jab Tare Jane Ka Lemha Ata Hai
To Dil Bohat Tarapta Hai Us Waqt...!

· 1 Like · Dec 30, 2017 at 15:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

دن ٹہر جائے ، مگر رات کٹے

Din tehar jay,magar raat katay
koi surat ho k barsat katay
khusbu muj ko kalam karti gayien
shakh dar shakh mery haath katay
moaj-e-gul ha k talwar koi
harf kyon apny ganwayeen ja kar
baat sy pehlay jahan baat katay
chand !aa mil k manayeen ye shab
aaj ki raat tery sath katay
puray insanoo mein ghus aye hain
sar katay, jisam katay,zaat katay...!

· 1 Like · Dec 30, 2017 at 09:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Main Umr Ke Rastay Mein Chup Chap Bikhar Jata

Main umr ke rastay mein chup-chap bikhar jata
Ek din bhi agar apni tanhai se darr jata

Main tark e taalluq pe zinda huN so mujrim huN
Kash uske liye jeeta!! apne liye mar jata

Kal saamne manzil thi peechay meri aawaziaN
Chalta to bichhaR jata, rukta to safar jata

Main shehr ki rounaq mein gum ho k bahut khush tha
Ek shaam bacha leta, ek roz to ghar jata

Uss jaan e takalum ko tum mujhse to millwatay
TasKheer na kar paata, hairaan to kar jata...!

· 1 Like · Dec 29, 2017 at 21:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Phir Usi Raah Guzar Par Shayad

Phir Usi Raah Guzar Par Shayad

Hum Kabhi Mil SakeiN Magar, Shayad

Jinke Hum Muntazar Rahe Unko

Mil gaye Aur Humsafar Shayad

Jaan Pahchaan Se Bhi Kya Hoga

Phir Bhi Ae Dost, Ghaur Kar Shayad

Ajnabaiyat ki Dhund Chhaat Jaye

Chamak Uthay Teri Nazar Shayad

Zindagi Bhar Lahu Rulaaye ge

Yaad-e-Yaaran-e-Bekhabar Shayad

Jo Bhi BichhRe Wo Kab Mile haiN FARAZ

Phir Bhi Tu Intezaar kar Shayad..!!!

· 1 Like · Dec 29, 2017 at 14:12
Category: sad
 
Low Landings and Jetblasts
Posted by Interesting Videos
Posted on : Jan 26, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS