Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Abhi Kuch Kaam Karney Hain

Abhi rona hai

zabt-e-ghum ka darya paar karna hai

abi to zehn ko

teri judaee k liye tayyar karna hai

abhi to akhri lamho'n mein tum ko pyar karna hai

abhi to qarya qarya

hum ko tere pyar mein badnaam hona hai

abhi yeh kaam hona hai

lab-e-sahil kharey ho kar

zuban-e-khamshi mein janey kitni bate'n karni hain

tumhare naam sari rate'n karni hai

wo jitney din mere jeewan k baqi hain

tumharey naam karney hain

abhi kuch kaam karney hain

abhi to zakhm chahat k teri khushboo se mehke'n ge

abhi to you'n bhi hona hai

k teri jheel si ankho'n mein

mujh ko doob jana hai

abhi waqt-e-wida k akhri manzar ko

ankho'n mein basana hai

abhi to hijr k samjhotey teh honey hain

hatho'n mein tumhara haath thamey

haa'n kisi weera'n sarak pe

chandni raato'n mein kitni door jana hai

abhi to mann mein ik ehsas jagey ga

kisi k paas aney ka

kisi k door janey ka

abhi to mujh ko teri god mein sar rakh k rona hai

abhi to you'n bhi hona hai

tere daman pe girney se zara pehley

tere ashko'n ne to rukhsar ka bosa bhi lena hai

tumhe'n ik akhri khat bhi to dena hai

abhi to husn ko palko'n ki dori mein pirona hai

abhi to ishq k sarey mehel neelam karney hain

abhi ruk jao

na jao

abhi kuch kaam karney hain.

· 1 Like · Jan 05, 2018 at 21:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Mujhko Dekho, Mere Marne Ki Tamanna Dekho

PhIr Bhi hAi tuMko MasiHai ka Davaa DekHo

Mujhko Dekho, Mere MaRne ki TamanNa Dekho

Jurm-E-NazZaaRaa pE kAun Itani KhuShaaMad kaRtaa

Ab Wo RuuThe haiN Lo aUr TamaAshaa Dekho

Do hi Din meN Wo Baat hAi Na Wo chAah Na pYaar

Ham Ne paHle hi Ye tUm se Na kaHaa thAa Dekho

Ham nA kahTe tHe BaNaavaT se hAi SaRaa GusSa

HaNs ke Lo phiR Wo UnHon Ne HameN DekHa Dekh0

MasTii-E-HuSn se Apni Bhi NahiN Tum ko KhAbar

Kyaa suNo aRaz Merii, HaaL MeRaa kya Dekho

GhAr se Har WaqT Nikal aAte ho khOLe hUe bAal

ShAam Dekho Na MeRi JaAN SaveRa Dekho

KhaNaa-E-JaaN meN NamuDaar Hai ek paikaR-E-Nuur

HasaRato Aao RuKh-E-YaaR ka JalWa Dekho

SaaMne sAb ke Munaasin nahiN hAm paR ye iTaab

Sar se Dhal jaAye Na GusSe meN DupaTTa Dekho

Mar MiTe hAm to kaBhi yAad Bhi tUm Ne Na kiYa

Ab MuhaBBat ka Na kaRna kaBhi DaWaa Dekho

Dosto Tark-E-MuhaBBat ki NasiHat hAi FaZuUL

Aur Na MaaNo to Dil-E-ZaaR ko Samajhaa Dekho

SaR kaHiN BaaL kahiN HaaTh kahiN PaaON kahiN

Us ka SoNa Bhi hAi kis ShaAn ka SoNaa Dekho

Ab Wo ShoKhi Se Ye kahte hAIn SitamGar jo haiN Ham

Dil kisi aUr se kuChh Ro0z BhaLa Dekho

Havas-E-Diid MiTi hAi na MiTegi "HasRat"

DekhNe ke Liye ChaaHo UnheN JitNa Dekho...

· 1 Like · Jan 05, 2018 at 08:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Magar Yaad Ab Nahi

Aayi Thi Ek Sadaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.
Auron Se Thi Jooda Si, Magar Yaad Ab Nahi.

Tahreer Uskey Chehre Pe Ek Ajnabi Si Thi,
Aankhe Thi Aashna Si, Magar Yaad Ab Nahi.

Tark-e-Talluq Ka, Jo Ban Gayi Sabab,
Wo Baat Thi Zaraa Si, Magar Yaad Ab Nhai.

Kuch Yaad Aa Raha Hai Ke Aagaz Hijr Mein,
Chhayi To Thi Udaasi Magar Yaad Ab Nahi.

Aankho Ki Khushk Jheel Mein Utre To Ye Khula
Thi Rooh Kitni Pyaasi Magar Yaad Ab Nahi.

Kuch Usko Der Ho Gayi Aane Mein Aur Kuch,
Thi Umr Be Wafaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.

· 1 Like · Jan 05, 2018 at 02:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Baat Din Ki Nahi Mujhe Raat Se Dar Lagta Hai

Baat Din Ki Nahi Mujhe Raat Se Dar Lagta Hai
Ghar Kacha Hai Mera, Mujhe Barsat Se Darr Lagta Hai,

Tere Tohfy Ne Diye Mujhe Khoon K Aansu
Zindgi Ab Teri Har Sogaat Se Dar Lagta Hai,

Chhoro Piyar Ki Batain Koi Or Baat Karo
Ab To Piyar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai,

Meri Khatir Tu Kahin Badnaam Na Ho Jaye
Es Liye Teri Har Mulaqat Se Dar Lagta Hai,

Apno Mein Reh Kar Kuch Aisy Zakham Khaye
Humein Ay Dost Apni Zaat Se Dar Lagta Hai !

· 1 Like · Jan 04, 2018 at 20:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Khush Raho

mujhe udaas kar gaey ho, khush raho
mere mizaaj par gaey ho, khush raho

mere liye nah ruk sakey to kya huwa
jahaN kaheiN thehar gaey ho, khush raho

khushi huwi hey aaj tum ko dekh kar
bahut nikhar sanwar gaey ho, khush raho

udaas ho kisi ki bey wafai par
wafa kaheiN to kar gaey ho, khush raho

gali meiN oar log bhi thay aashna
humheiN salaam kar gaey ho, khush raho

tumheiN to mairi dosti peh naaz thaa
osi sey ab mukar gaey ho, khush raho

kisi ki zindagi bano keh bandagi
merey liye to mar gaey ho, khush raho

· 1 Like · Jan 04, 2018 at 14:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kub Os Ka Visaal Chahye Tha

Kub Os Ka Visaal Chahye Tha ?????

Bas Ik Khayaal Chahye Tha...


Kub Dil Ko Jawab Se Garz Thee ???

Honton Ko Sawaal Chahye Tha...


Ek Chehra Saada Tha Jo Ham Ko...

Be Masl-o-Misaal Chahye Tha...


Ik Qarb Mein Zaat-o-Zindagi Hain..

Mumkin Ko Muhaal Chahye Tha...


Mein Kia Hun Bas Ik Malaal-e-Maazi

Os Shaks Ko Haal Chahye Tha...


Hum Tum Jo Bichar Gaye Hain Hum Ko

Kuch Din Tou Malaal Chahye Tha...

· 1 Like · Jan 03, 2018 at 12:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Duniya Ne Ham Pe Jab Koi Ilzaam Rakh Diya

Duniya Ne Ham Pe Jab Koi iLzaam Rakh Diya

Ham Ne Muqaabil Oske Tera Naam Rakh Diya


Ik Khaas Had Pe Aagayi Jab Be-Rukhi Teri

Naam Oska Ham Ne Gardish-e-Ayyaam Rakh Diya


Mein Larkhara Raha Hun Tujhe Dekh Dekh Kar

TU Ne Tou Mere Saamnay Ik Jaam Rakh Diya


Kitna Sitam Zareef Hai Wo Saahib-e-Jamaal

Osne Diya Jalaa Ke Lab-e-Baam Rakh Diya

· 1 Like · Jan 03, 2018 at 06:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Ranj Bhee Aisay Uthaaye Hain Ke Jee Jaanta Hai


Jo Zamaanay Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaanay

TU Ne Dil Itnay Sataaye Hain Ke Jee Jaanta Hai


Muskuraatay Howay Wo Majmaa-e-Agyaar Ke Saath

Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ke Jee Jaanta Hai


Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayeen Dono Aankhain

Aisay Jalway Nazar Aaye Hain Ke Jee Jaanta Hai


Dosti Mein Teri Dar-Pardah Hamaaray Dushman

Is Qadar Apne Paraaye Hain Ke Jee Jaanta Hai


Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere Koochay Se

Is Tarah Khainch Ke Laaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

· 1 Like · Jan 03, 2018 at 00:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain

Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain

Jaisay Koi Khwaab Likh Rahay Hain


Paani Ko Bana Ke Roshnaai

SholoN Ka Jawaab Likh Rahay Hain


Hum Apni Khushi Se Apne Tan Par

Mausam Ka Aazaab Likh Rahay Hain


Wo Saamnay Rakh Ke Chikna Kaaghaz

Baarish Ka Hisaab Likh Rahay Hain


Parhtay Hain Hum Tou Chehray

Aur Aap Kitaab Likh Rahay Hain

· 1 Like · Jan 02, 2018 at 18:01
Category: sad
 
The Power of Love
Posted by Video Ads
Posted on : Sep 28, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS