Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Barson Purani Baat Hai

barsoon purani baat hai yeh,woh koon tha mein koon thi
us ko bhi kahan yaad raha,aur mein bhi sab bhool gai
ik pal k ham aashna, ik pal k ham ajnabee

woh khwaab to reza reza hoey,palkoon pay jo aan theray thay
woh saheefay bhi ham kho chukey, dil-e-sada pay jo utrey they
haan dard ke thandi aahoon say,yeh zindagi hai bheeg chali
ik pal k ham aashna, ik pal k ham ajnabee

haan dil ke banjar dharty par, aab kiyoon kar sathi phool khilain
kab talak us ko rooinge, aa sarey gham ham bhool chlein
neend aankhoon mein utree aur thak kar aakhir so hi gai
ik pal k ham aashna, ik pal k ham ajnabee

woh paiman kia, woh wafain kia, ab us k shehr ko aiyen kiya
har herf to gum ho hi gya, lagein bhi to dooyain kia
na khatam hoye yeh fasley, aur zindagi bhi tay na hoi
ik pal k ham aashna, ik pal k ham ajnabee

· 1 Like · Jan 11, 2018 at 18:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Sada Rehe Kismat Ki Jo Zanjeeroon Mein

sada rehe kismat ki jo zanjeeroon mein
hamara naam bhi shamil hai un aseeroon mein
woh jis k naam ki khowahish uraan bharti hai
ussi ka naam nehi hath ki lakeeroon mein

· 1 Like · Jan 11, 2018 at 12:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tamam Shud

Wo Dard Woh Wafa WO Muhabbat Tamam Shud...
Ley Dil Main Tere Qurb Ki Hasrat Tamam Shud...

Yeh Baad Main Khuley Ga K Kiss Kiss Ka Khoon Hua..??
Her Eik Bayan Khatam, Adalat Tamam Shud...

Tu Ab Tou Dushmani K Bhi Qabil Nahi Raha..
Uth'ti Thi Jo Kabhi Woh Adawat Tmam Shud...

Ab RAbt Eik Naya Mujhey Awargi Se Hai...
Paband-E-Khayal Ki Adat Tamam Shud..

Jaiz Thi Ya Nahi Thi Tere Haq Main Thi MAgar..
Karta Tha Jo Kabhi Woh Waqalat Tamam Shud...

Woh Roz Roz Marney KA QIssa Hia Tamam...
Woh Roz Dil Ko Cheerti Wehshat Tamam Shud..

Mohsin Main Kunja-E-Zeest Main Chup Chaap PAra Hun..

· 1 Like · Jan 11, 2018 at 00:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Poora Chaand

sham samay aaik oonchi seehriyon walay ghar kay angan mein
chand ko utaray daikha hum nay, chand bhi kaysa ? poora chand

insha jee in chahnay wali, daikhnay wali ankhoon nay
mulkoon mulkon, shehroon shehroon, kaisa kaisa daikha chand

har aik chand ke apni dhuj thi, har aik chand ka apna roop
laykin aisa roshan roshan, hansta battain karta chaand ?

dard ke tees tu uth'ti thee, par itni bhi , bharpor kabhi ?
aaj say pehlay kab utra tha dil mein itna gehra chaand !

hum nay tu kismat kay dar say jab paye andhayaray paye
yeah bhi chand ka sapna ho ga, kaisa chand, kahaan ka chand ?

insha jee duniya waloon mein bay sathi bay doost rahay
jaisay taroon kay jhurmat mein tunha chand, akayla chand

in ka daman iss doulat say khali ka khaali hee raha
warna tha duniya mein kitnay chandi chand aur soona chand

jug kay charoon koot mein ghooma seelani hayraan howa
iss basti kay iss koochay kay iss angan mein aisa chand ?

ankhoon mein bhi chitwan mein bhi chand he chand jhalaktay hain
chand hee teeka, chand hee jhoomar, chehra chand aur matha chand

aik yeh chand nagar ka baasi jiss say door raha sunjoog
warna iss duniya mein sab nay chaha chand aur paya chand


anbar nay dharti par phaikee noor ke cheent udaas udaas
aaj ke shab tu andhi shab th, aaj kidhar say nikla chand ?

insha je yeh aur nagar hai, iss basti ke reet yeahi hai
sab ke apni apni ankhain, sab ka apna apna chand

apnay seenay kay mat'la par jo chamka woh chaand howa
jis nay man kay andhyaaray mein aan kiya uj'yaara, chaand

chanchal muskaati muskaati goori ka mukhra mehtaab
bath jhar kay pairoon mein at'ka peela sa ik patta chand

dukh ka darya skh ka sagar iss kay dam say daikh liyeah
hum ko apnay saath he lay kar dooba aur ubhra chaand

jhuki jhuki palkoon kay neechay numnaaki ka naam na tha!
yeah kanta jo humain chubha hai kaash tujhay bhi chubhta chand

roshniyoon ke peeli kirchain, poorab pacham phail gaieen
tu nay kis shay kay dhookay mein pathar pay day tapka chand

hum nay tu dono ko daikha, dono he bay dard khathoor
dharti walla, anbar walla, pehla chand aur dooja chand

chand kissi ka ho nahi sakta, chand kissi ka hota hai ?
chand ke khatir zind nahi kartay, aye mairay achay insha chand

· 1 Like · Jan 10, 2018 at 18:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Hum To Jaisey Wahaan Key They Hi Nahin

Hum to jaisey wahaan key they hi nahin
Dhoop they, sayaban key they hi nahin

Raastey karavan key sath rahey
Marhaley karavan key they hi nahin

Ab hamara makaan kis kaa hai
Hum to apaney makaan key they hi nahin

In ko aandhi main hi bikharna tha
Baal-o-par yahan key they hi nahin

Us gali ney yeh sun ke saber kiya
Janey waley yahan key they hi nahin

Ho teri Khak-e-astan pey salaam
Ham terey astan key they hi nahin

· 1 Like · Jan 09, 2018 at 04:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Main Diya Hon Toote Mazaar Ka

Main diya hon toote Mazaar ka sar-e-shaam kis ne jala diya

Teri be-rukh adaon ne mujhe zarra zarra bana diya



Nayi manzilon pe pohanch ker bhi yehi sochti hon ke kis tarha

Kin raaston pe mile the hum kin raaston ne bichaar diya



Ye to apna apna naseeb hai koi mil sake ya na mil sake

Na ho gham zada dil-e-meherban phir kya howa jo bhula diya



Mere hum safar zara soch le zara thehar ja qadam do qadam

Teeri raaton ka khaloos hon tere saamne jo bicha diya



Meri hasraton ke mazaar per tere sankron se sawaal hain

Mujhe rok ker itna bataye ja yahan kis ne kis ko bhula diya?

· 1 Like · Jan 07, 2018 at 22:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Mujhey Darya Nahi Likhna

Mujhey darya nahi likhna,mujhey sehra nahi likhna
Tasallsul se safar main hoon, mujhey thehra nahi likhna

Purani rabton ki raakh ab tak dil main baqi hai
Meri jalti hatheli par naya wada nahi likhna

Ana se jeet kar usko agar jo mainey khoya hai
Mera noha nahi likhna mera naghma nahi likhna

Bisat-e-zindagi ki aakhiri sarhad pe khara hoon
Mujhey fateh nahi likhna mujhey mohra nahi likhna

Tumhari aankh main agar main kabhi chup chaap jal jaow
Tum apni aankhon main laiken mera sadma nahi likhna

Gawahi apnay dil se lo tumhara dil kiya kehta hai
Mujhey jhoota nahi likhna mujhey sacha nahi likhna

May uski yaad may gum hoon ke apne aap may gum hoon
Mujhey mehfil nahi likhna mujhey tanha nahi likhna

May apney lafzoon se shohrat tumhey de jaonga ik din
Mujhey mashhoor na karna mera charcha nahi likhna

Ye na ho tum kabhi us ko mitaa na chaho..na mittay
Mujhey apna samajh lena magar apna nahi likhna

Meri aankhon may baatein hay magar chehray pe gehri chup
Meri aankhein to likh dena mera chehra nahi likhna

Kahin aisa na ho meri kasak us dil main reh jaye
Mera dukh dard likh dena magar gehra nahi likhna............!!!!

· 1 Like · Jan 07, 2018 at 04:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Faraz Abb Koi Souda Koi Junoon Bhi Nahin

Faraz Abb Koi Souda Koi Junoon Bhi Nahin

Magar Qaraar Say Din Kat Rahey Hon Yoon Bhi Nahin



Na Jaaney Kyun Mairi Aankhein Barasney Lagti Hain

Jo Sach Kahoon To Kuch Aisa Udaas Hoon Bhi Nahin



Dukhon Ke Dhair Lagey Hain Ke Log Baitthey Hain

Issi Diyar Ka Main Bhi Hoon Aur Hoon Bhi Nahin



Lab-o-Dahan Bhii Milaa Guftaguu Kaa Fan Bhi Mila

Magar Jo Dil Pey Guzarati Hai Ke Sakoon Bhi Nahin



Mairi Zabaan Ki Luknat Say Bad-Gumaan Na Ho

Jo Tu Kahey To Tujhey Umr Bhar Miloon Bhi Nahin



'Faraz' Jaisey Koi Diya Turbat-e-Hawa Chaahey Hai

Tu Paas Aaye To Mumkin Hai Main Rahoon Bhi Nahin

· 1 Like · Jan 06, 2018 at 21:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Shaam E Fursat Dhaley Hum Nahi Chahte

Shaam-e-fursat dhaley hum nahi chahte

Gham se fursat mile hum nahi chahte



Phir naya waar sehney ko tayaar hain

Tu pareshan rahe hum nahi chahte



Aaj ansoo bahaney se mat roko

Aaj barish thamey hum nahi chahte



Hum tere baad ujrey ho to bhi theek hai

Ab kahin dil lage hum nahi chahte



Tere pekar ko hum dekhte he rahein

Tu nazar se hatey hum nahi chahte



Kis qadar dil nasheen hai ye moujon ka shor

Gham ka dariya rukey hum nahi chahte



Iss qadar pyar se tu pukara na kar

Aag dil ko lage hum nahi chahte

· 1 Like · Jan 06, 2018 at 15:01
Category: sad
 
Lahore Metro Bus Smart Card
Posted by iJunoon
Posted on : Jun 06, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS