Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Gham Thay Mera Asasa

Jis sey bandhey thay dono, wo gham nahi rahey hain,
Tum tum nahi rahey ho, hum hum nahi rahey hain,

Chaahat k geet men hai, koi kami yaqeenan,
Aakhir terey merey sur jumm nahi rahey hain,

Ro ro k terey dukh, sehra sa ho gaya hoon,
Ab aankh k kinaray bhi nam nahin rahey hain,

Lamhon k pairr par hain, kuch phool dard-e-gham k,
Jeewan men ab khushi k mausam nahi rahey hain,

Tu aur simt men hai, mein aur simt men hoon,
Ulfat k raastay ab baaham nahi rahey hhain,

Fikr-e-muaash ney tau jazbon ko rond daala,
Aashiq wagarna hum bhi kuch kam nahi rahey hain,

Raahon men ab kharra hoon, phelaaye haath khaali,
Gham thay mera asasa aur gham nahi rahey hain...!

· 1 Like · Jan 15, 2018 at 11:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Azaab Jitne Bhi Aane The Tal Gaye Saare

Azaab Jitne Bhi Aane The Tal Gaye Saare
Teri Nigaah Se Mosam Badal Gaye Saare,

Bas Ek Shikaar Howa Ek Hi Shikaar Howa
Pher Us K Bad Parinde Sanbhal Gaye Saare,

Para Hoon Be Sar-o-Samaan Sab-e-Maqtal Mein
Mere Khiyaam Sar-e-Shaam Jal Gaye Saare,

Woh Mil Giya To Usay Kuch Bhi Na Keh Paaya
Jo Lafz Soche The Ashkon Mein Dhal Gaye Sare,

Ek Intizaar Ne Aysa Hisaar Mein Rakha
Mein Peeche Reh Giya Aage Nikal Gaye Sare.

· 1 Like · Jan 15, 2018 at 05:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Ab To Aa Ja

Ab to Aa ja Guzar gaya hun main !
Log kehtay hain mar gya hun main !

Tum se Milta tha Sirf Ujra hua !
Dekh kitna sanwar gaya hun main !

Khaar Chuntay umar Tamaam hui !
Aaj pholon se bhar gaya hun main !

Tu to aa k Wada wafa kar ja !
Apne wade se phir gya hun main !

Ghum-e-hayat, Qissa-e-Shikast-e-hasti!
Qaid shairon mein Kar gaya hun main !

Muthiyaan khaak se bharay Dunia !
Lehad mein utar gaya hun main !

· 1 Like · Jan 14, 2018 at 22:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tera Dard Tha Teri Yaad Thi

Tera dard tha teri yaad thi,
mai jahn raha ,mai jidhar gaya,
mera din to yuhin guzar gaya,
junhi shaam hui mai bikhar gaya
is abr ka mere yaar se bara milta julta mezaj tha
kabhi toot ke baras gaya kabhi berukhi se guzar gaya
jab mai chor donga wo gali,
usay yaad aayigi tab meri,
khojay ga wo tab mujhe
usay khabar milegi mai mar gaya
abi tang hai wo mere naam se mere baad aayega wo dooton,
wo tumhi ko rok rok k puche ga,
wo kahn hai wo kidhar gaya

· 1 Like · Jan 14, 2018 at 15:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Hum Bhi Kabhi Mohabat Kya Kartay Thay

Hum bhi kabhi mohabat kya kartay thay
Jab teri dhun main jiya kartay thay,
Hum bhi chup chap phira kartay thay
Ankhon main pyas hua karti thi,
Dil main toofan utha kartay thay
Log aatay thay ghazal sunane ko
Hum teri hi baat kya kartay thay,
Such samajhtay thay tere wadoon ko
Raat din gher main raha kartay thay
Wo bhi kya din thay,
Tughe bhula ker hum tughe yaad kya kartay thay,
Kal tughe dekh ker yaad aaya,
HUM BHI KABHI MOHABBAT KYA KARTAY THAY

· 1 Like · Jan 14, 2018 at 03:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Ye Zinagi Tere Sath Ho

Ye zindagi tere sath ho
Ye aarzo din raat ho,
Main tere sung sung chaloon
Tu har safar main mere sath ho,
Main kantoon per bhi chal parron
Tere pyar ki jab barsat ho,
Kabhi sham dhalay jab hum milain
Na din halay na raat ho,
YE ZINAGI TERE SATH HO
YE AARZO DIN RAAT HO.

· 1 Like · Jan 13, 2018 at 21:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Hum Nazuk Nazuk Dil Waley

hum nazuk nazuk dil waley
bus aisey hi to hotey hain...
kabhi hanstey hain kabhi rotey hain,
kabhi dil mai khwab pirotey hain
kabhi mehfil mehfill phirtey hain,
kabhi zaat mai tanha hotey hain
kabhi chup ki mohr sajtey hain,
kabhi geet labon pey latey hain
kabhi sub ka dil behlatey hain,
kabhi khud me tanha hotey hain
kabhi shab bhar jaagtey rehtey hain,
kabhi lambi taan key sotey hain

hum nazuk nazuk dil waley bas...
Kuch aisey hi to hotey hain....!

· 1 Like · Jan 13, 2018 at 14:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Aatish E Khaamosh Ki Maanind Goya Jal Gaya

dil mera soz e nihaan se be-muhaaba jal gaya
aatish e khaamosh ki maanind goya jal gaya
dil mein zouq e vasl o yaad e yaar tak baaqi nahin
aag is ghar mein lagi aisi ke jo tha jal gaya
main adam se bhi paray hoon verna ghaafil! baarha
meri aah e aatsheen se baal e anqa jal gaya
arz keejay johar e andesha ki garmi kahaan!
kuch khyaal aaya tha vehshat ka ke sehra jal gaya
dil nahin, tujh ko dikhaata verna, daaghon ki bahaar
is chiraaghaan ka, karoon kya, kaarfarma jal gaya
main hoon aur afsurdagi ki aarzoo, ghalib! keh dil
dekh kar tarz e tapaak e ehl e duniya jal gaya

· 2 Like · Jan 13, 2018 at 02:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Teshay Baghair Mar Na Saka Kohkan

juz qais, aur koi na aaya baraoo e kaar
sehra magar ba-tangi e chasm e husood tha
aashuftagi ne naqsh e sueda kiya durust
zaahir hua ke daagh ka sarmaaya dood tha
tha khwaab mein khyaal ko tujh se maamla
jab aankh khul gayi na ziyaan tha na sood tha
leta hoon maktab e gham e dil mein sabaq hunooz
lekin yehi ke "raft" gaya aur "bood" tha
dhaanpa kafan ne daagh e ayoob e barhangi
main, verna har libaas mein nang e wajood tha
teshay baghair mar na saka kohkan, asad!
sargashta e khumaar e rusoom o qyood tha.

· 1 Like · Jan 12, 2018 at 13:01
Category: sad
 
Come to Success.
Posted by moona malik
Posted on : Nov 06, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS