Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Maazi K Kharabe Ki

maazi k kharabe ki
mehraab-e shikasta per
ik naam jo kunda hay
kya naam hay kis ka hay?

na saal na sin is ka
na raat na din is main
tasweer nahi koi
tehreer nahi koi
na teer ka naqsha hay
na paan ka patta hay
ehwaal musafir ka
pinhaa.n hay na paida hay

kiya janeye kab koi
kis dais sey aaya ho
apnoo.n sey wo ghumdeeda
wehshat main paraya ho
kis haal main rehta ho
kiya bhais banaya ho
badal ho k bijli ho
wo dhoop k saya ho
jogi ho k banjara
raja k riaya ho
jis roz sey dill uss nay
duniya sey uthaya ho

kis kis sey lagagya ho
aur dard hi paya ho
maazi k kharabe ki
mehraab-e shikasta per
is naqsh sey kiya matlub
is harf k kiya maani?
ye naam mita dalo
be-naam bana dalo
haa.n ajnabi Insha ko
awara-o ruswa ko

· 1 Like · Jan 19, 2018 at 21:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Log Hilaal E Shaam Sey Barh Kar

Log hilaal-e shaam sey barh kar pal main mah-e tammam howe
Hum har burj main ghat’te ghat’te subha talak ghumnaam howe

Un logo.n ki baat karo jo ishq main khush unjaam howe
Najd main Qais yahan per Insha khwaar howe, na-kaam howe

Kis ka chamakta chehra lain, kis soraj sey maangain dhoop
Ghor undhaira cha jata hay, khilwat-e dill main shaam howe

Aik sey aik junoo ka mara is basti main rehta hay
Aik humain hushiyaar they yaaro, aik humain ba-naam howe

Shouq ki aag, nafas ki garmi, ghat’te ghat’te sard ho na ho?
Chah ki raah dikha kar tum tu waqf-e dareecha-o baam howe

Un sey bhahar-o baagh ki baatain kar k jee ko dukhana kya
Jin ko aik zamana guzra kunj-e qafas main raam howe

Insha sahab pho phat’ti hay, taarey dobeby, subha hoi
Baat tumhaari maan k hum tu shab bhi be-araam howe

· 1 Like · Jan 19, 2018 at 14:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Wohi Barishon Ka Mousam

Wohi Barishon Ka Mousam,
Wohi Sardiyoon Ki Shamain
Wohi Dilruba Ghataein,
Wohi Saans Leti Khushboo
Wohi Morr Murti Sarakein,
Wohi Pursukoon Jagah ,
Hai Farq Bas Zara Sa
Jo Gazeshta Mousamoon Main
mera HumNawa Bana Thaa
Jane Wo Aub Kahan Hai......!
Jane Wo Aub Kahan Hai......!

· 1 Like · Jan 19, 2018 at 02:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Bohut Totey Howey Hain Hum

Bohut totey howey hain hum
Abhi Dastuk nahi dena!
Abhi Ankh hay Purnam
Abhi Dastuk nahi Dena!!
Mere Yar Abhi kuch Din
mere Ahwal Mat Pocho..!
abHi Dil maiN hain kaYe Ghum
Abhi Dastak Nahi deNa!!
Shab-e-Tanhai main Tarapna hAy
buhat mujhkO
Abhi hay Dard kuch madham
abhi Dastak nahi Dena

· 1 Like · Jan 18, 2018 at 19:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Bhari Bahaar Mai Ab K

bhari bahaar mein ab kay ajeeb phool khilay
na apnay zakhm he mehkay, na dil kay chaak silay

kahan talak koi dhoonday musafiron ka suraagh
bichernay walon ka kya hai, milay milay na milay

ajeeb qehat ka mousam tha ab kay bastii mein
kiye hain banjh zamiinon say baarisho ne gilay

yeh haadsa sar saahil rulla gaya sab ko
bhanwar mein doobnay walon kay hath bhi na milay

sinaan ki nook, kabhi shaakh daar peh mohsin
sukhan waron ko milay hain mushaqaton kay silay

· 1 Like · Jan 18, 2018 at 13:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kya Karoon

Kya Karoo'n..??

Aasma'n ko apni muthi me pakr loo'n...

Ya Samander per chaloo'n...

Perh key patey ginoo'n...

Ya Tehnio'n me jazeb hotey oas key Qatrey chunoo'n...

Doobtey suraj ko Ongli key Esharey se bulaao'n...

Raat me saya bano'n...

Khaali Aankh me sajeelay Rang Dhoondo'n...

Ya saaf chehray per siyaai se koi Qisa Likho'n...

Kya karoo'n...??

Apney hee pero'n se Oljho'n aur giroo'n..

Aur pir apni Aankho'n se chuppo'n...

Ya pir apni khwaish per hansoo'n...

Kya kroo'n...??

La-haasili ki sard chadr orh loo'n...

Aur chup raho'n...

Ya wasvaso'n key barf-zaaro'n se...

Tume'n Aawaz do'n...

Kya kro'n.....???

· 2 Like · Jan 17, 2018 at 00:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Ye Jo Bikhra Bikhra Sa Shaks Hai

Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa
kbhi door sa … kbhi paas sa
kbhi chandni main chupa hua
kbhi khushbuon main basa hua
kbhi sirf uski shabahatein
kbhi sirf uski hikayatein
kbhi sirf milne k silsile
kbhi sirf us se hain faasle
kbhi door chalti hawaon main
kbhi meenha barasti ghataon main
kbhi bad-gumaan … kbhi meherbaan
kbhi dhoop hai … kbhi sayebaan

kbhi band dil ki kitaab main
kbhi lab kushan wo khwab main
kbhi yun k jaise sawal ho
kbhi yun k jaise jawab ho
kbhi dekhne k hain silsile
kbhi sochne k hain marhaly
kbhi sirf rang-e-bahar sa
kbhi sirf ek ghubaar sa

kbhi dastaras k qareeb qareeb

kbhi door … paas … kahin nahi

ye jo ukhra ukhra sa shaks hai

ye jo bikhra bikhra sa shaks hai

· 2 Like · Jan 16, 2018 at 18:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Ktni Aziyat Se Mujhe Usne Bhulaya Hoga

Ktni AZIYAT se mujhe usne bhulaya hoga

Meri yad ne use khob RULAYA
hoga

Bat be bat Aankh uski CHHALKI
hogi

Usne CHEHRE ko BAZU me chupaya hoga

Socha hoga din me kai bar mujhy

Nam HATHELI pe mera likh likh k mitaya hoga

Jahan usne mera ZIKR suna hoga
ksi se

Uski Aankhon me koi ANSO to aya hoga

Rat ko dair tk NEND na ai
hogi

Usne TAKYE ko b SEENE se lgaya
hoga

Jub kabhi CHAND ko dekha hoga akely usne

Usy PYAR mara yad bht aya hoga.

· 3 Like · Jan 16, 2018 at 06:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Ab K Waqt Ki Mohlat

Ab k waQt ki mohlat
khatm honey waali hey
khawaab ke sabhi Taai’r
aankh ke dareechey sey
gir ke marney waaley hain
sabz aas beloN k...
patay jhaRney waaley hain
zindagi ke maathey par
zard paRtey honton sey
saans aakhri bossa
dey ke jaaney waali hey
kuch hi pal tou baaQi hain
ab ke waQt kii mohlat...
khatm honey waali hey
kon shakhs aaya hey
khaawaab haath meiN thaamey
ye yaQeeN dilaaney ko
ke agar meiN ruk jaon
gar zara si mohlat ho
Zakhm silney waaley hain
Phool khilney waaley hain
ussko kaesey samjhaon
uss ney deir kar di hey
kuch hi pal tou baaQi hain
kuch hi pal tou baaqi they...
ab ke waqt ki mohlat...

· 1 Like · Jan 16, 2018 at 00:01
Category: sad
 
sunny leone vs iron man
Posted by Fahad Yousuf
Posted on : Apr 30, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS